Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muddaa-o-arzu shauq-e-tamanna aap hain

Abdul Mannan Tarzi

muddaa-o-arzu shauq-e-tamanna aap hain

Abdul Mannan Tarzi

MORE BYAbdul Mannan Tarzi

    mudda.ā-o-ārzū shauq-e-tamannā aap haiñ

    kis ko kis ko maiñ batā.ūñ mere kyā kyā aap haiñ

    mai-kada sāġhar surāhī aur sahbā aap haiñ

    jo kisī sūrat na utre aisā nashsha aap haiñ

    jis pe kartī hai mohabbat merī da.avā aap haiñ

    jis dil shām-o-sahar paḌhtā vazīfa aap haiñ

    ai mirī jān-e-ġhazal shahr-e-vafā-o-shauq meñ

    merī azrā aur salmā merī nuurā aap haiñ

    aap haiñ ai jān-e-jāñ mere suḳhan aabrū

    sach to ye hai ki ġhazal misra.a misra.a aap haiñ

    aap zulfoñ maiñ to nahīñ tanhā asiir

    kar ga.ī barbād jo zāhid taqvā aap haiñ

    jazba-e-pākīza mere dil haiñ kuchh aap

    merī chashm-e-shauq saarā tamāsha aap haiñ

    ahd-e-pīrī meñ ġhazal 'tarzī' miyāñ aisī javāñ

    ishq meñ kis ke bhalā itne bhī rusvā aap haiñ

    muddaa-o-arzu shauq-e-tamanna aap hain

    kis ko kis ko main bataun mere kya kya aap hain

    mai-kada saghar surahi aur sahba aap hain

    jo kisi surat na utre aisa nashsha aap hain

    jis pe karti hai mohabbat meri dawa aap hain

    jis ka dil sham-o-sahar paDhta wazifa aap hain

    ai meri jaan-e-ghazal shahr-e-wafa-o-shauq mein

    meri azra aur salma meri nura aap hain

    aap hain ai jaan-e-jaan mere suKHan ki aabru

    sach to ye hai ki ghazal ka misra misra aap hain

    aap ki zulfon ka main hi to nahin tanha asir

    kar gai barbaad jo zahid ki taqwa aap hain

    jazba-e-pakiza mere dil ka hain kuchh aap hi

    meri chashm-e-shauq ka sara tamasha aap hain

    ahd-e-piri mein ghazal 'tarzi' miyan aisi jawan

    ishq mein kis ke bhala itne bhi ruswa aap hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abdul Mannan Tarzi

    Abdul Mannan Tarzi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now