Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muddat se hai libas-e-badan tar tar dost

Jameel Mazhari

muddat se hai libas-e-badan tar tar dost

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    muddat se hai libās-e-badan taar taar dost

    mailā bhī hai utaar ab is ko utaar dost

    baḳhiye ab jagah hai na paivand jagah

    kyā rahe haiñ is ko tire ġham-gusār dost

    thā jis meñ zindagī gumāñ vo to chukī

    ye zindagī hai us ke qadam ġhubār dost

    jo zindagī thī laġhzish-e-paiham silsila

    hai jumbish-e-ḳhafīf use nāgavār dost

    aage jo chukā hai vo har lamha-e-hayāt

    tujh ko pukārtā hai sun us pukār dost

    hālāt ne jo laad diyā terī piiTh par

    gardan jhaTak ke pheñk de jaldī vo baar dost

    thī zindagī ḳhudā ġhazab aur 'maz.harī'

    maut ik ḳhudā pyaar hai le us pyaar dost

    muddat se hai libas-e-badan tar tar dost

    maila bhi hai utar ab is ko utar dost

    baKHiye ki ab jagah hai na paiwand ki jagah

    kya si rahe hain is ko tere gham-gusar dost

    tha jis mein zindagi ka guman wo to ja chuki

    ye zindagi hai us ke qadam ka ghubar dost

    jo zindagi thi laghzish-e-paiham ka silsila

    hai jumbish-e-KHafif use nagawar dost

    aage jo ja chuka hai wo har lamha-e-hayat

    tujh ko pukarta hai sun us ki pukar dost

    haalat ne jo lad diya teri piTh par

    gardan jhaTak ke phenk de jaldi wo bar dost

    thi zindagi KHuda ka ghazab aur 'mazhari'

    maut ek KHuda ka pyar hai le us ka pyar dost

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now