Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujh bala-nosh ko talchhaT bhi hai kafi saqi

Rind Lakhnavi

mujh bala-nosh ko talchhaT bhi hai kafi saqi

Rind Lakhnavi

MORE BYRind Lakhnavi

    mujh balā-nosh ko talchhaT bhī hai kaafī saaqī

    bhar de chullū meñ jo ho shīshe meñ baaqī saaqī

    bhar ke pilvātā nahīñ ek piyālī saaqī

    saarī maiñ māñgtā huuñ detā hai aadhī saaqī

    ne kyā ātish-e-hal-karda pilā saaqī

    bhuun Daalā hai jigar aag lagā saaqī

    phuul māñgūñ to pilātā hai barāñDī saaqī

    kartā hai bazm-e-guzishta talāfī saaqī

    jām-e-jam chāhiye rindoñ ko na shāhī saaqī

    saltanat hai tire kūche gadā.ī saaqī

    jaam auroñ ko diye mujh ko piyālī saaqī

    ḳhud bahakne lagā mānind-e-sharābī saaqī

    kyā karūñ ke bhalā ek piyālī saaqī

    is tunuk-zarfī banda nahīñ aadī saaqī

    kab se kahtā huuñ balā-nosh maiñ saaqī saaqī

    aur pilvā de jo ho shīshe meñ baaqī saaqī

    maraz-e-hijr meñ mai garche muzir hai lekin

    maiñ to jaatā huuñ allāh hai saaqī saaqī

    sub.h se shaam talak haath se chhuTtā nahīñ jaam

    chāhiye apnā taḳhallus kare jaamī saaqī

    maslahat hogī jo mahrūm rakhā mai se mujhe

    fel hikmat se nahīñ hai tirā ḳhālī saaqī

    mast kyā jāneñ kidhar dair hai ka.aba hai kahāñ

    umr saarī tirī bhaTTī meñ guzārī saaqī

    masjid o dair o kalīsā vo raunaq na rahī

    ne buniyād jo mai-ḳhāne Daalī saaqī

    dekhiye sohbat-e-nā-jins nibhegī kyūñ-kar

    past-himmat tabī.at mirī aalī saaqī

    fasl-e-gul aa chukī kyā duur se dahkātā hai

    mai-e-gul-rañg se bhar bhar ke gulābī saaqī

    vā.izo vohī karūñgā maiñ jo fatvā degā

    qibla-o-kāba o murshid mirā haadī saaqī

    shīsha-o-jām o subū hoñge abhī chaknāchūr

    mast bahke to baḌī hogī ḳharābī saaqī

    koī aafat tire mai-ḳhāne pe aa saktī hai

    sab duā-go haiñ ye jitne haiñ sharābī saaqī

    sirf lillāh bhī mai-ḳhāne meñ jaarī kar de

    muqtazī ho jo tirī himmat-e-ālī saaqī

    tañg ho kar tire har baar ke dahkāne se

    kos baiThe na koī riñd-e-sharābī saaqī

    jo piyegā na sharāb aaj vo mujrim hogā

    kū-ba-kū kal se kar de ye munādī saaqī

    dard bhī mujh ko pilā degā bad-mastī meñ

    sab sunā dūñgā maiñ dīvān-e-zulālī saaqī

    barf pilvā ke kaleja mirā ThanDā kar de

    āb-e-añgūr ne to aag lagā saaqī

    terā chāhe to pilvā de koī jām-e-sharāb

    haath phailāne banda nahīñ aadī saaqī

    nafs-e-garm tāsīr ne mai sāġhar se

    sho.ala-e-lafz ke mānind uḌā saaqī

    aur to hasrateñ sab 'rind' ke dil se niklīñ

    jām-e-kausar tamannā rahī baaqī saaqī

    mujh bala-nosh ko talchhaT bhi hai kafi saqi

    bhar de chullu mein jo ho shishe mein baqi saqi

    bhar ke pilwata nahin ek piyali saqi

    sari main mangta hun deta hai aadhi saqi

    tu ne kya aatish-e-hal-karda pila di saqi

    bhun Dala hai jigar aag laga di saqi

    phul mangun to pilata hai baranDi saqi

    karta hai bazm-e-guzishta ki talafi saqi

    jam-e-jam chahiye rindon ko na shahi saqi

    saltanat hai tere kuche ki gadai saqi

    jam auron ko diye mujh ko piyali saqi

    KHud bahakne laga manind-e-sharabi saqi

    kya karun pi ke bhala ek piyali saqi

    is tunuk-zarfi ka banda nahin aadi saqi

    kab se kahta hun bala-nosh main saqi saqi

    aur pilwa de jo ho shishe mein baqi saqi

    maraz-e-hijr mein mai garche muzir hai lekin

    main to pi jata hun allah hai saqi saqi

    subh se sham talak hath se chhuTta nahin jam

    chahiye apna taKHallus kare jami saqi

    maslahat hogi jo mahrum rakha mai se mujhe

    fel hikmat se nahin hai tera KHali saqi

    mast kya jaanen kidhar dair hai kaba hai kahan

    umr sari teri bhaTTi mein guzari saqi

    masjid o dair o kalisa ki wo raunaq na rahi

    tu ne buniyaad jo mai-KHane ki Dali saqi

    dekhiye sohbat-e-na-jins nibhegi kyun-kar

    past-himmat tu tabiat meri aali saqi

    fasl-e-gul aa chuki kya dur se dahkata hai

    mai-e-gul-rang se bhar bhar ke gulabi saqi

    waizo wohi karunga main jo fatwa dega

    qibla-o-kaba o murshid mera hadi saqi

    shisha-o-jam o subu honge abhi chaknachur

    mast bahke to baDi hogi KHarabi saqi

    koi aafat tere mai-KHane pe aa sakti hai

    sab dua-go hain ye jitne hain sharabi saqi

    sirf lillah bhi mai-KHane mein jari kar de

    muqtazi ho jo teri himmat-e-ali saqi

    tang ho kar tere har bar ke dahkane se

    kos baiThe na koi rind-e-sharabi saqi

    jo piyega na sharab aaj wo mujrim hoga

    ku-ba-ku kal se tu kar de ye munadi saqi

    dard bhi mujh ko pila dega tu bad-masti mein

    sab suna dunga main diwan-e-zulali saqi

    barf pilwa ke kaleja mera ThanDa kar de

    aab-e-angur ne to aag laga di saqi

    tera ji chahe to pilwa de koi jam-e-sharab

    hath phailane ka banda nahin aadi saqi

    nafs-e-garm ki tasir ne mai saghar se

    shoala-e-lafz ke manind uDa di saqi

    aur to hasraten sab 'rind' ke dil se niklin

    jam-e-kausar ki tamanna rahi baqi saqi

    Source:

    Deewan-e-Rind(Guldast-e-ishq) (Rekhta Website) (Pg. 291)

    • Author: Rind Lakhnavi
      • Edition: 1931
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1930
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now