Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko aashiq kah ke uske ru-ba-ru mat kijiyo

Meer Hasan

mujhko aashiq kah ke uske ru-ba-ru mat kijiyo

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    mujh ko āshiq kah ke us ke rū-ba-rū mat kījiyo

    dostāñ gar dost ho to ye kabhū mat kījiyo

    jis adā kushta huuñ maiñ vo rahe mere saath

    us adā ko mubtazil ai ḳhūb-rū mat kījiyo

    vaqt-e-ruḳhsat dil ne itnā kahā ro kar ki bas

    ab phir aane mire aarzū mat kījiyo

    maiñ to yūñhī tum se dīvāna baktā huuñ kahīñ

    us ke aage dostāñ ye guftugū mat kījiyo

    zulf ke kūche se ho gulshan meñ guzre hai sabā

    aaj vaañ kar guloñ ko koī mat kījiyo

    kal ke jhagḌe meñ bhalā hai kis ke yaaro haq ba-tarf

    vājibī jo ho so kahiyo merī mat kījiyo

    vaañ 'hasan' hargiz nahīñ hai Dhiil phir jaane meñ kuchh

    āshnā.ī par bharosa us mat kījiyo

    mujh ko aashiq kah ke us ke ru-ba-ru mat kijiyo

    dostan gar dost ho to ye kabhu mat kijiyo

    jis ada ka kushta hun main wo rahe mere hi sath

    us ada ko mubtazil ai KHub-ru mat kijiyo

    waqt-e-ruKHsat dil ne itna hi kaha ro kar ki bas

    ab phir aane ki mere tu aarzu mat kijiyo

    main to yunhi tum se diwana sa bakta hun kahin

    us ke aage dostan ye guftugu mat kijiyo

    zulf ke kuche se ho gulshan mein guzre hai saba

    aaj wan ja kar gulon ko koi bu mat kijiyo

    kal ke jhagDe mein bhala hai kis ke yaro haq ba-tarf

    wajibi jo ho so kahiyo meri ru mat kijiyo

    wan 'hasan' hargiz nahin hai Dhil phir jaane mein kuchh

    aashnai par bharosa us ki tu mat kijiyo

    Source:

    Deewan-e-Meer Hasan (Pg. 80)

    • Author: Meer Hasan
      • Edition: 1912
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now