Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko talim se nafrat hi sahi

Kaif Ahmed Siddiqui

mujhko talim se nafrat hi sahi

Kaif Ahmed Siddiqui

MORE BYKaif Ahmed Siddiqui

    mujh ko ta.alīm se nafrat sahī

    aur kheloñ se mohabbat sahī

    maiñ ne is se to baḌe kaam liye

    aap ko khel se vahshat sahī

    imtihāñ se maiñ nahīñ ghabrātā

    fail honā mirī qismat sahī

    paḌhne vāloñ ne bhī kyā kuchh na kiyā

    naql karnā mirī aadat sahī

    maiñ ne to sirf guzārish thī

    sab nazroñ meñ shikāyat sahī

    maiñ kisī se na laḌūñgā hargiz

    dab ke rahnā mirī fitrat sahī

    maiñ na chhoḌūñgā sharāfat chalan

    ye sharāfat mirī zillat sahī

    kabhī chūmegī qadam ḳhud manzil

    aaj har gaam pe diqqat sahī

    ye musībat bhī baḌī dilkash hai

    zindagī ek musībat sahī

    'kaif' ik din ye banā degī tujhe

    sher-goī tirī aadat sahī

    mujh ko talim se nafrat hi sahi

    aur khelon se mohabbat hi sahi

    main ne is se to baDe kaam liye

    aap ko khel se wahshat hi sahi

    imtihan se main nahin ghabraata

    fail hona meri qismat hi sahi

    paDhne walon ne bhi kya kuchh na kiya

    naql karna meri aadat hi sahi

    main ne to sirf guzarish ki thi

    sab ki nazron mein shikayat hi sahi

    main kisi se na laDunga hargiz

    dab ke rahna meri fitrat hi sahi

    main na chhoDunga sharafat ka chalan

    ye sharafat meri zillat hi sahi

    kabhi chumegi qadam KHud manzil

    aaj har gam pe diqqat hi sahi

    ye musibat bhi baDi dilkash hai

    zindagi ek musibat hi sahi

    'kaif' ek din ye bana degi tujhe

    sher-goi teri aadat hi sahi

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now