Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujh mast ko mai ki bu bahut hai

Ameer Minai

mujh mast ko mai ki bu bahut hai

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    mujh mast ko mai bahut hai

    dīvāne ko ek bahut hai

    motī tarah jo ho ḳhudā-dād

    thoḌī bhī aabrū bahut hai

    jaate haiñ jo sabr-o-hosh jaa.eñ

    mujh ko ai dard bahut hai

    mānind-e-kalīm baḌh na ai dil

    ye dard guftugū bahut hai

    be-kaif ho mai to ḳhum ke ḳhum kyā

    achchhī ho to ik subū bahut hai

    kyā vasl shab meñ mushkileñ haiñ

    fursat kam aarzū bahut hai

    manzūr hai ḳhūn-e-dil jo ai yaas

    apne liye aarzū bahut hai

    ai nashtar-e-ġham ho laakh tan-e-ḳhushk

    tere dam ko lahū bahut hai

    chheḌe vo mizha to kyuuñ maiñ ro.uuñ

    āñkhoñ meñ ḳhalish ko bahut hai

    ġhunche tarah chaman meñ saaqī

    apnā mujhe subū bahut hai

    kyā ġham hai 'amīr' agar nahīñ maal

    is vaqt meñ aabrū bahut hai

    mujh mast ko mai ki bu bahut hai

    diwane ko ek hu bahut hai

    moti ki tarah jo ho KHuda-dad

    thoDi si bhi aabru bahut hai

    jate hain jo sabr-o-hosh jaen

    mujh ko ai dard tu bahut hai

    manind-e-kalim baDh na ai dil

    ye dard ki guftugu bahut hai

    be-kaif ho mai to KHum ke KHum kya

    achchhi ho to ek subu bahut hai

    kya wasl ki shab mein mushkilen hain

    fursat kam aarzu bahut hai

    manzur hai KHun-e-dil jo ai yas

    apne liye aarzu bahut hai

    ai nashtar-e-gham ho lakh tan-e-KHushk

    tere dam ko lahu bahut hai

    chheDe wo mizha to kyun main roun

    aankhon mein KHalish ko mu bahut hai

    ghunche ki tarah chaman mein saqi

    apna hi mujhe subu bahut hai

    kya gham hai 'amir' agar nahin mal

    is waqt mein aabru bahut hai

    Source:

    Deewan-e-Ameer (Pg. 268)

    • Author: Ameer Minai
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1922
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now