Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujh mein kisi ka aks na partaw Khaali aaina hun main

Makhmoor Saeedi

mujh mein kisi ka aks na partaw Khaali aaina hun main

Makhmoor Saeedi

MORE BYMakhmoor Saeedi

    mujh meñ kisī aks na partav ḳhālī ā.īna huuñ maiñ

    mere TukḌe kaun sameTe ab TūTūñ bikhrūñ maiñ

    merī rasā.ī merī hadoñ tak terī fazā meñ bhī qaid

    mujh tak aa.e to kyūñ-kar tujh tak kaise pahuñchūñ maiñ

    ruḳh pe jo tere shafaq khilī hai ḳhuun hai mere ḳhvāboñ

    kahe ai shām-e-tanhā.ī tujh se lipaT kar ro luuñ maiñ

    duurī ke ye lamhe baḌh kar kahīñ na sadiyāñ ban jaa.eñ

    tujh ko jab apne paas na pā.ūñ jaane kyā kyā sochūñ maiñ

    dīvāroñ se sar Takrā.ūñ band darīchoñ ke pīchhe

    khulī fazā meñ aa niklūñ to mauj-e-havā se uljhūñ maiñ

    kaun sunegā ye tūlānī qissa kis ko fursat hai

    jo kuchh mujh par biit rahī hai apne dil meñ rakkhūñ maiñ

    lafzoñ meñ ehsās kaliyāñ khilā rahā huuñ ai 'maḳhmūr'

    jaise koī mujh se kahtā ho aa tere lab chūmūñ maiñ

    mujh mein kisi ka aks na partaw KHali aaina hun main

    mere TukDe kaun sameTe ab TuTun ya bikhrun main

    meri rasai meri hadon tak teri faza mein tu bhi qaid

    tu mujh tak aae to kyun-kar tujh tak kaise pahunchun main

    ruKH pe jo tere shafaq khili hai KHun hai mere KHwabon ka

    kahe tu ai sham-e-tanhai tujh se lipaT kar ro lun main

    duri ke ye lamhe baDh kar kahin na sadiyan ban jaen

    tujh ko jab apne pas na paun jaane kya kya sochun main

    diwaron se sar Takraun band darichon ke pichhe

    khuli faza mein aa niklun to mauj-e-hawa se uljhun main

    kaun sunega ye tulani qissa kis ko fursat hai

    jo kuchh mujh par bit rahi hai apne dil mein rakkhun main

    lafzon mein ehsas ki kaliyan khila raha hun ai 'maKHmur'

    jaise koi mujh se kahta ho aa tere lab chumun main

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 491)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now