Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujh par inayaten hain kai sahiban ki

Ashok Mizaj Badr

mujh par inayaten hain kai sahiban ki

Ashok Mizaj Badr

MORE BYAshok Mizaj Badr

    mujh par ināyateñ haiñ ka.ī sāhibān

    kuchh haiñ zamīn vāloñ kuchh āsmān

    apne safar tanhā musāfir nahīñ huuñ maiñ

    izzat juḌī hai mujh se mire ḳhāndān

    vo mujh ko aazmā ke kaḌī dhuup meñ rahā

    mujh ko ḳhizāñ bahār lagī imtihān

    'ḳhusrav-amīr' barahman ho ġhazal

    muhtāj kab rahī hai kisī bhī zabān

    hindī apnī shaan hai urdu apnī shaan

    donoñ ān-bān haiñ hindostān

    mujh par inayaten hain kai sahiban ki

    kuchh hain zamin walon ki kuchh aasman ki

    apne safar ka tanha musafir nahin hun main

    izzat juDi hai mujh se mere KHandan ki

    wo mujh ko aazma ke kaDi dhup mein raha

    mujh ko KHizan bahaar lagi imtihan ki

    'KHusraw-amir' ki ya barahman ki ho ghazal

    muhtaj kab rahi hai kisi bhi zaban ki

    hindi ki apni shan hai urdu ki apni shan

    donon hi aan-ban hain hindostan ki

    Source:

    Main Ashok Hoon Main Mizaj Bhee (Pg. 31)

    • Author: Ashok Mizaj Badr
      • Edition: 2017
      • Publisher: Shere Acadami, Bhopal
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now