Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujh sath sair-e-bagh kun ai nau-bahaar chal

Mirza Daood Beg

mujh sath sair-e-bagh kun ai nau-bahaar chal

Mirza Daood Beg

MORE BYMirza Daood Beg

    mujh saath sair-e-bāġh kuuñ ai nau-bahār chal

    bulbul hai intizār meñ ai gul-izār chal

    karne kuuñ qatl āshiq-e-jāñ-bāz ke sanam

    le teġh-e-nāz haath kamar rakh kaTār chal

    karne nazāra baaġh niklā hai gul-badan

    barjā hai har chaman suuñ gar aave bahār chal

    us gul-badan suuñ zauq ham-āġhosh hai agar

    ho chaak siina gul ke naman ban ke haar chal

    us sham.a-rū ke vasl gar tujh kuuñ shauq hai

    mahfil meñ āshiqāñ ho parvāna-vār chal

    āḳhir asīr-e-umr hai is jahāñ suuñ kuuch

    is vāste hai dam jaras meñ pukār chal

    gar azm hai buzurgī is aalam meñ hue husūl

    a.amāl-nāma jag meñ apas sañvār chal

    gar yaar ke hai vasl ne.amat ishtihā

    har shai suuñ rah uu paas vahāñ lag nahār chal

    avval ḳhudī ke ghar kuuñ ai 'dā.ūd' toḌ saT

    mai-ḳhāna-e-visāl meñ tab sidh-bisār chal

    mujh sath sair-e-bagh kun ai nau-bahaar chal

    bulbul hai intizar mein ai gul-izar chal

    karne kun qatl aashiq-e-jaan-baz ke sanam

    le tegh-e-naz hath kamar rakh kaTar chal

    karne nazara bagh ka nikla hai gul-badan

    barja hai har chaman sun gar aawe bahaar chal

    us gul-badan sun zauq ham-aghosh hai agar

    ho chaak sina gul ke naman ban ke haar chal

    us shama-ru ke wasl ka gar tujh kun shauq hai

    mahfil mein aashiqan ki ho parwana-war chal

    aaKHir asir-e-umr ka hai is jahan sun kuch

    is waste hai dam ki jaras mein pukar chal

    gar azm hai buzurgi is aalam mein hue husul

    aamal-nama jag mein apas ka sanwar chal

    gar yar ke hai wasl ki neamat ki ishtiha

    har shai sun rah u pas wahan lag nahaar chal

    awwal KHudi ke ghar kun ai 'daud' toD saT

    mai-KHana-e-visal mein tab sidh-bisar chal

    Source:

    Deewan-e-Daud Aurangabadi (Pg. ebook-48 page-47)

      • Publisher: National Fine Printing Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1958
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now