Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhse kyun kahte ho mazmun ghair ki tahrir ka

Nizam Rampuri

mujhse kyun kahte ho mazmun ghair ki tahrir ka

Nizam Rampuri

MORE BYNizam Rampuri

    mujh se kyuuñ kahte ho mazmūñ ġhair tahrīr

    jāntā huuñ mudda.ā maiñ aap taqrīr

    saath gar sone na doge tum ko bhī niiñd aa chukī

    maiñ to aadī ho gayā huuñ nāla-e-shab-gīr

    apne matlab samajh kar ho ga.e the ham to ḳhush

    kyuuñ mukarte ho yahī matlab hai us taqrīr

    ahd kis kaa, aap jo kahte use sach jāntā

    kyā karūñ qaa.il huuñ maiñ to ġhair tadbīr

    kuchh asar un par huā to kyā dete haiñ fareb

    kahte haiñ qaa.il nahīñ maiñ āh-e-be-tāsīr

    ye to farmāo ki kyā us ko karūñgā maiñ muaaf

    mere aage zikr kyuuñ hai ġhair taqsīr

    ek din sun kar chale aa.e the vo be-sāḳhta

    āsmāñ par hai dimāġh ab āh-e-be-tāsīr

    pañja-e-ulfat se pakḌā hai use dil ne mire

    sahl hai qātil koī pahlū se khiñchnā tiir

    koshish-e-bejā thī ye kuchh e'timād-e-aql par

    ab ye darja hai ki qaa.il nahīñ tadbīr

    jitne sar haiñ utne saude kyā ḳhatā nāseh mirī

    maiñ ik qaidī nahīñ us zulf-e-ālam-gīr

    kyā kahā thā maiñ ne tum kyā samjhe is kyā ilaaj

    tum munsif ho ye matlab thā mirī taqrīr

    ye mirā likkhā ki jo tadbīr ulTī paḌī

    aur is par bhī mujhe shikva nahīñ taqdīr

    jazb-e-ulfat is ko kahte haiñ kahīñ paḌ jaa.e haath

    zaḳhm dil par pahuñchtā hai tirī shamshīr

    mujh ko us ke paas jaanā us meñ jo kuchh ho 'nizām'

    ek matlab jāntā huuñ zillat o tauqīr

    mujh se kyun kahte ho mazmun ghair ki tahrir ka

    jaanta hun muddaa main aap ki taqrir ka

    sath gar sone na doge tum ko bhi nind aa chuki

    main to aadi ho gaya hun nala-e-shab-gir ka

    apne matlab ki samajh kar ho gae the hum to KHush

    kyun mukarte ho yahi matlab hai us taqrir ka

    ahd kis ka, aap jo kahte use sach jaanta

    kya karun qail hun main to ghair ki tadbir ka

    kuchh asar un par hua to kya hi dete hain fareb

    kahte hain qail nahin main aah-e-be-tasir ka

    ye to farmao ki kya us ko karunga main muaf

    mere aage zikr kyun hai ghair ki taqsir ka

    ek din sun kar chale aae the wo be-saKHta

    aasman par hai dimagh ab aah-e-be-tasir ka

    panja-e-ulfat se pakDa hai use dil ne mere

    sahl hai qatil koi pahlu se khinchna tir ka

    koshish-e-beja thi ye kuchh e'timad-e-aql par

    ab ye darja hai ki qail hi nahin tadbir ka

    jitne sar hain utne saude kya KHata naseh meri

    main hi ek qaidi nahin us zulf-e-alam-gir ka

    kya kaha tha main ne tum kya samjhe is ka kya ilaj

    tum hi munsif ho ye matlab tha meri taqrir ka

    ye mera likkha ki jo tadbir ki ulTi paDi

    aur is par bhi mujhe shikwa nahin taqdir ka

    jazb-e-ulfat is ko kahte hain kahin paD jae hath

    zaKHm dil par hi pahunchta hai teri shamshir ka

    mujh ko us ke pas jaana us mein jo kuchh ho 'nizam'

    ek matlab jaanta hun zillat o tauqir ka

    Source:

    kulliyat-e-nizaam (Pg. 39)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now