Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhse milne mere KHeme mein chali aati hai gard

Tabassum Anwar

mujhse milne mere KHeme mein chali aati hai gard

Tabassum Anwar

MORE BYTabassum Anwar

    mujh se milne mere ḳheme meñ chalī aatī hai gard

    dasht-e-vahshat meñ faqat merī mulāqātī hai gard

    dasht meñ basnā mujhe is vāste raas aa gayā

    gard se mil kar mirī hastī bhī ban jaatī hai gard

    rā.egānī satātā hai mujhe ehsās jab

    zindagī sochtī huuñ yaad aa jaatī hai gard

    phir koī vahshat ghumā.e dā.era-dar-dā.era

    gher kar jab bhī mujhe sahrā meñ le jaatī hai gard

    aa.ina yādoñ ab khone lagā hai āb-o-tāb

    kuchh to khaa.e zang us ko aur kuchh khātī hai gard

    dūrī-e-manzil ho kam jab ḳhār-o-ḳhas uThne lageñ

    kārvāñ ke kuuch unvān ban jaatī hai gard

    jo akaḌ kar chal rahā hai ek fir.auñ tarah

    aise insāñ ko ishāra ik mukāfātī hai gard

    saarā din ham saat bhaTkeñ shaam ko thak haar kar

    saath mere hiir vāris-shāh gaatī hai gard

    bas isī ḳhātir 'tabassum' mujh ko ye bhātī nahīñ

    aap tasvīr par rozāna paḌ jaatī hai gard

    mujh se milne mere KHeme mein chali aati hai gard

    dasht-e-wahshat mein faqat meri mulaqati hai gard

    dasht mein basna mujhe is waste ras aa gaya

    gard se mil kar meri hasti bhi ban jati hai gard

    raegani ka satata hai mujhe ehsas jab

    zindagi ka sochti hun yaad aa jati hai gard

    phir koi wahshat ghumae daera-dar-daera

    gher kar jab bhi mujhe sahra mein le jati hai gard

    aaina yaadon ka ab khone laga hai aab-o-tab

    kuchh to khae zang us ko aur kuchh khati hai gard

    duri-e-manzil ho kam jab KHar-o-KHas uThne lagen

    karwan ke kuch ka unwan ban jati hai gard

    jo akaD kar chal raha hai ek firaun ki tarah

    aise insan ko ishaara ek mukafati hai gard

    sara din hum sat bhaTken sham ko thak haar kar

    sath mere hir waris-shah ki gati hai gard

    bas isi KHatir 'tabassum' mujh ko ye bhati nahin

    aap ki taswir par rozana paD jati hai gard

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now