aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe malum hai main sari duniya ki amanat hun

Jan Nisar Akhtar

mujhe malum hai main sari duniya ki amanat hun

Jan Nisar Akhtar

MORE BYJan Nisar Akhtar

    mujhe ma.alūm hai maiñ saarī duniyā amānat huuñ

    magar vo lamha jab maiñ sirf apnā ho jaatā huuñ

    maiñ tum se duur rahtā huuñ to mere saath rahtī ho

    tumhāre paas aatā huuñ to tanhā ho jaatā huuñ

    maiñ chāhe sach bolūñ har tarah se apne baare meñ

    magar tum muskurātī ho to jhūTā ho jaatā huuñ

    tire gul-rañg hoñToñ se dahaktī zindagī kar

    maiñ pyāsā aur pyāsā aur pyāsā ho jaatā huuñ

    tujhe bāñhoñ meñ bhar lene ḳhvāhish yuuñ ubhartī hai

    ki maiñ apnī nazar meñ aap rusvā ho jaatā huuñ

    mujhe malum hai main sari duniya ki amanat hun

    magar wo lamha jab main sirf apna ho sa jata hun

    main tum se dur rahta hun to mere sath rahti ho

    tumhaare pas aata hun to tanha ho sa jata hun

    main chahe sach hi bolun har tarah se apne bare mein

    magar tum muskuraati ho to jhuTa ho sa jata hun

    tere gul-rang honTon se dahakti zindagi pi kar

    main pyasa aur pyasa aur pyasa ho sa jata hun

    tujhe banhon mein bhar lene ki KHwahish yun ubharti hai

    ki main apni nazar mein aap ruswa ho sa jata hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now