Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muntashir sayon ka hai ya aks-e-be-paikar ka hai

Hakeem Manzoor

muntashir sayon ka hai ya aks-e-be-paikar ka hai

Hakeem Manzoor

MORE BYHakeem Manzoor

    muntashir sāyoñ hai aks-e-be-paikar hai

    muntazir ye ā.īna kyā jaane kis manzar hai

    reza reza raat bhar jo ḳhauf se hotā rahā

    din ko sāñsoñ par abhī tak bojh us patthar hai

    vo kisī farhañg qaidī na ab tak ho sakā

    vo shikasta lafz merī ruuh ke andar hai

    har koī hone lagā hai din ko ḳhvāboñ asiir

    ḳhauf har ik aañkh meñ ik duur ke manzar hai

    dekh kar bhī kyā kare 'manzūr' us karb hai

    vo to juz āñkhoñ ke sar se paañv tak marmar hai

    muntashir sayon ka hai ya aks-e-be-paikar ka hai

    muntazir ye aaina kya jaane kis manzar ka hai

    reza reza raat bhar jo KHauf se hota raha

    din ko sanson par abhi tak bojh us patthar ka hai

    wo kisi farhang ka qaidi na ab tak ho saka

    wo shikasta lafz meri ruh ke andar ka hai

    har koi hone laga hai din ko KHwabon ka asir

    KHauf har ek aankh mein ek dur ke manzar ka hai

    dekh kar bhi kya kare 'manzur' us ka karb hai

    wo to juz aankhon ke sar se panw tak marmar ka hai

    Source:

    Natamam (Pg. 66)

    • Author: Hakeem Manzoor
      • Edition: 1977
      • Publisher: Samt Publication 2/48 Rajendar Nagar New Delhi-110060
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now