Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na aaina hi us surat ke aage hakka-bakka hai

Ishq Aurangabadi

na aaina hi us surat ke aage hakka-bakka hai

Ishq Aurangabadi

MORE BYIshq Aurangabadi

    na ā.īna us sūrat ke aage hakkā-bakkā hai

    siyāhī dekh us ke ḳhat ke mad dil meñ lukkā hai

    huā insāñ numāyāñ nūr-e-zāt-e-pāk-vahdat se

    ki jyuuñ ḳhurshīd ke partav se zarre meñ jhamakkā hai

    huā aḳhbār se sābit savāb-e-hajj-e-akbar hai

    ziyārat kar le ai ġhāfil dil-e-āgāh makka hai

    bachā niiñ koī us zālim ke jaur-e-chashm-o-mizhgāñ se

    vahāñ ā.īna bhī shān-e-asal shabakkā hai

    jhukā kar ek maiñ sar naam apnā kar diyā raushan

    funūn-e-ishq meñ kam koī parvāna pakkā hai

    mavālī-e-alī hai ba-ḳhair anjām buujh ai 'ishq'

    ḳhudā hāfiz tirā dozaḳh bhī ik shara.ī-e-dikkā hai

    na aaina hi us surat ke aage hakka-bakka hai

    siyahi dekh us ke KHat ke mad ki dil mein lukka hai

    hua insan numayan nur-e-zat-e-pak-wahdat se

    ki jyun KHurshid ke partaw se zarre mein jhamakka hai

    hua aKHbar se sabit sawab-e-hajj-e-akbar hai

    ziyarat kar le ai ghafil dil-e-agah makka hai

    bacha nin koi us zalim ke jaur-e-chashm-o-mizhgan se

    wahan aaina bhi shan-e-asal ka sa shabakka hai

    jhuka kar ek main sar nam apna kar diya raushan

    funun-e-ishq mein kam koi parwana sa pakka hai

    mawali-e-ali ka hai ba-KHair anjam bujh ai 'ishq'

    KHuda hafiz tera dozaKH bhi ek sharai-e-dikka hai

    Source:

    Deewan-e-Ishq(Rekhta Website) (Pg. 83)

      • Publisher: Idara-e-Adabiyat-e-Urdu, Hyderabad
      • Year of Publication: 1960
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now