Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na de jo dil hi duhai to koi baat nahin

Iftikhar Ahmad Fakhr

na de jo dil hi duhai to koi baat nahin

Iftikhar Ahmad Fakhr

MORE BYIftikhar Ahmad Fakhr

    na de jo dil duhā.ī to koī baat nahīñ

    ye chaar din ḳhudā.ī to koī baat nahīñ

    jo māñgnā hai tujhe sirf ek dar se maañg

    ye dar-ba-dar gadā.ī to koī baat nahīñ

    agarche ḳhvāhish-e-manzil junūñ ke nāḳhun le

    ḳhirad uqda-kushā.ī to koī baat nahīñ

    maza to jab hai bujhe tishnagī-e-ḳhār-e-alam

    junūn-e-ābla-pā.ī to koī baat nahīñ

    ḳhud apne dil ko banā le āstān-e-vafā

    haram nāsiya-sā.ī to koī baat nahīñ

    nikal ga.ī thī mire muñh se dil baat jo kal

    huī hai aaj parā.ī to koī baat nahīñ

    mai-e-suḳhan se na pighle jo ābgīna-e-dil

    to 'faḳhr' sho.ala-navā.ī to koī baat nahīñ

    na de jo dil hi duhai to koi baat nahin

    ye chaar din ki KHudai to koi baat nahin

    jo mangna hai tujhe sirf ek dar se mang

    ye dar-ba-dar ki gadai to koi baat nahin

    agarche KHwahish-e-manzil junun ke naKHun le

    KHirad ki uqda-kushai to koi baat nahin

    maza to jab hai bujhe tishnagi-e-KHar-e-alam

    junun-e-abla-pai to koi baat nahin

    KHud apne dil ko bana le tu aastan-e-wafa

    haram ki nasiya-sai to koi baat nahin

    nikal gai thi mere munh se dil ki baat jo kal

    hui hai aaj parai to koi baat nahin

    mai-e-suKHan se na pighle jo aabgina-e-dil

    to 'faKHr' shoala-nawai to koi baat nahin

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 569)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now