aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na dil apna na gham apna na koi gham-gusar apna

Shad Azimabadi

na dil apna na gham apna na koi gham-gusar apna

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    na dil apnā na ġham apnā na koī ġham-gusār apnā

    ham apnā jānte har chiiz ko hotā jo yaar apnā

    jame kis tarah is hairat-kade meñ e'tibār apnā

    na dil apnā na jaan apnī na ham apne na yaar apnā

    haqīqat meñ hamīñ ko jab nahīñ ḳhud e'tibār apnā

    ġhalat samjhī agar samjhī hai tan ko jān-e-zār apnā

    kahīñ hai daam armāñ kahīñ daane ummīdoñ ke

    ajal kartī hai kis kis ghaat se ham ko shikār apnā

    ilāhī ḳhair ho ab ke bahār-e-bāġh ne phir bhī

    jamāyā be-tarah bulbul ke dil par e'tibār apnā

    jo mai ko Dhaal bhī leñ ham to saaqī ke ishāre par

    nahīñ is ke alāva mai-kade meñ iḳhtiyār apnā

    agar qāsid haqīqat meñ payām-e-vasl laayā hai

    to kyuuñ aañsū bhare muñh dekhtā hai ġham-gusār apnā

    zarūrat kyā kisī ko is taraf ho kar guzarne

    alag ai bekasī bastī se hai kosoñ mazār apnā

    ma.aaz allāh furqat haiñ rāteñ qabr rāteñ

    abhī se yaañ huā jaatā hai sun sun kar fishār apnā

    guloñ surḳh rañgat jism meñ lauke lagātī hai

    dikhātī hai tamāshā kis āñkhoñ ko bahār apnā

    ḳhatar kyā kashti-e-mai ko bhalā mauj-e-havādis

    na beḌā paar ho kyūñkar ki ḳhud saaqī hai yaar apnā

    chhupā legā kisī din arsh tak ko apne dāman meñ

    dikhā degā tamāshā phail kar musht-e-ġhubār apnā

    ḳhabar kyā ġhaib ġham-ḳhvār ko aur yaañ ye aalam hai

    kahā jaatā nahīñ apnī zabāñ se hāl-e-zār apnā

    nahīñ kartā gavārā rāh-rau ke dil pe mail aanā

    uḌā kartā hai raste se alag haT kar ġhubār apnā

    dam aayā naak meñ fariyādiyoñ ke shor o ġhauġhā se

    qayāmat meñ abas kyuuñ khīñch laayā intishār apnā

    ham ik mehmāñ haiñ ham se dostī karne hāsil kyā

    nahīñ kuchh is jahāñ meñ ai shab-e-ġham e'tibār apnā

    kuchh aisā kar ki ḳhuld ābād tak ai 'shād' pahuñcheñ

    abhī tak raah meñ vo kar rahe haiñ intizār apnā

    na dil apna na gham apna na koi gham-gusar apna

    hum apna jaante har chiz ko hota jo yar apna

    jame kis tarah is hairat-kade mein e'tibar apna

    na dil apna na jaan apni na hum apne na yar apna

    haqiqat mein hamin ko jab nahin KHud e'tibar apna

    ghalat samjhi agar samjhi hai tan ko jaan-e-zar apna

    kahin hai dam arman ka kahin dane ummidon ke

    ajal karti hai kis kis ghat se hum ko shikar apna

    ilahi KHair ho ab ke bahaar-e-bagh ne phir bhi

    jamaya be-tarah bulbul ke dil par e'tibar apna

    jo mai ko Dhaal bhi len hum to saqi ke ishaare par

    nahin is ke alawa mai-kade mein iKHtiyar apna

    agar qasid haqiqat mein payam-e-wasl laya hai

    to kyun aansu bhare munh dekhta hai gham-gusar apna

    zarurat kya kisi ko is taraf ho kar guzarne ki

    alag ai bekasi basti se hai koson mazar apna

    maaz allah furqat ki hain raaten qabr ki raaten

    abhi se yan hua jata hai sun sun kar fishaar apna

    gulon ki surKH rangat jism mein lauke lagati hai

    dikhati hai tamasha kis ki aankhon ko bahaar apna

    KHatar kya kashti-e-mai ko bhala mauj-e-hawadis ka

    na beDa par ho kyunkar ki KHud saqi hai yar apna

    chhupa lega kisi din arsh tak ko apne daman mein

    dikha dega tamasha phail kar musht-e-ghubar apna

    KHabar kya ghaib ki gham-KHwar ko aur yan ye aalam hai

    kaha jata nahin apni zaban se haal-e-zar apna

    nahin karta gawara rah-rau ke dil pe mail aana

    uDa karta hai raste se alag haT kar ghubar apna

    dam aaya nak mein fariyaadiyon ke shor o ghaugha se

    qayamat mein abas kyun khinch laya intishaar apna

    hum ek mehman hain hum se dosti karne ka hasil kya

    nahin kuchh is jahan mein ai shab-e-gham e'tibar apna

    kuchh aisa kar ki KHuld aabaad tak ai 'shad' ja pahunchen

    abhi tak rah mein wo kar rahe hain intizar apna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now