Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na ehtijaj na aawargi mein dekh mujhe

Asad Badayuni

na ehtijaj na aawargi mein dekh mujhe

Asad Badayuni

MORE BYAsad Badayuni

    na ehtijāj na āvārgī meñ dekh mujhe

    jo ho sake to mirī raushnī meñ dekh mujhe

    gul-e-havas bhī hai shāḳh-e-visāl hissa

    charāġh-e-lāla taaza kalī meñ dekh mujhe

    vazāhatoñ se kuchh bhī samajh na pā.egā

    kabhī ġhubār kabhī tīrgī meñ dekh mujhe

    fazā-e-yād meñ tabdīliyāñ nahīñ hotīñ

    jadīd shaḳhs purānī galī meñ dekh mujhe

    sitāra taab zamāne yādgār huuñ maiñ

    kisī malāl na sharmindagī meñ dekh mujhe

    maiñ ek buuñd sar-e-nok-e-ḳhār-e-sahrā huuñ

    tulū-e-sub.h-e-dam-e-āḳhirī meñ dekh mujhe

    mire bayān ke jāh-o-jalāl par mat

    mire ḳhayāl pas-māndagī meñ dekh mujhe

    na ehtijaj na aawargi mein dekh mujhe

    jo ho sake to meri raushni mein dekh mujhe

    gul-e-hawas bhi hai shaKH-e-visal ka hissa

    charagh-e-lala ki taza kali mein dekh mujhe

    wazahaton se tu kuchh bhi samajh na paega

    kabhi ghubar kabhi tirgi mein dekh mujhe

    faza-e-yaad mein tabdiliyan nahin hotin

    jadid shaKHs purani gali mein dekh mujhe

    sitara tab zamane ki yaadgar hun main

    kisi malal na sharmindagi mein dekh mujhe

    main ek bund sar-e-nok-e-KHar-e-sahra hun

    tulu-e-subh-e-dam-e-aKHiri mein dekh mujhe

    mere bayan ke jah-o-jalal par mat ja

    mere KHayal ki pas-mandagi mein dekh mujhe

    Source:

    Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 414)

    • Author: Asad Badayuni
      • Edition: Asad Badayuni
      • Publisher: National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL
      • Year of Publication: Asad Badayuni
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now