Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na puchho wajh meri chashm-e-tar ki

Bakhtiyar Ziya

na puchho wajh meri chashm-e-tar ki

Bakhtiyar Ziya

MORE BYBakhtiyar Ziya

    na pūchho vaj.h merī chashm-e-tar

    miyāñ phir gir ga.ī dīvār ghar

    ye maanā dhul gayā sūraj saroñ se

    mire āñgan dhuup ab tak na sar

    jabīñ tar ḳhushk-lab talvoñ meñ chhāle

    yahī rūdād hai apne safar

    badī nekī izāfī mas.ale haiñ

    hukūmat hai diloñ par sirf Dar

    gumānoñ muqaddar hai bhaTaktā

    yaqīñ ne har muhim duniyā sar

    na saayā hai na shāḳhoñ meñ samar haiñ

    zarūrat kyā hai ab sūkhe shajar

    jhulastī dhuup bārish sard rāteñ

    ba-har-sūrat 'ziyā' ham ne basar

    na puchho wajh meri chashm-e-tar ki

    miyan phir gir gai diwar ghar ki

    ye mana dhul gaya suraj saron se

    mere aangan ki dhup ab tak na sar ki

    jabin tar KHushk-lab talwon mein chhaale

    yahi rudad hai apne safar ki

    badi neki izafi masale hain

    hukumat hai dilon par sirf Dar ki

    gumanon ka muqaddar hai bhaTakta

    yaqin ne har muhim duniya ki sar ki

    na saya hai na shaKHon mein samar hain

    zarurat kya hai ab sukhe shajar ki

    jhulasti dhup barish sard raaten

    ba-har-surat 'ziya' hum ne basar ki

    Source:

    Shab Charagh (Pg. 29)

    • Author: Bakhtiyar Ziya
      • Edition: 1993
      • Publisher: Markaz-e-adab
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now