Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na-tawan wo hun nigahon mein sama hi na sakun

Shad Lakhnavi

na-tawan wo hun nigahon mein sama hi na sakun

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    nā-tavāñ vo huuñ nigāhoñ meñ samā na sakūñ

    bharūñ āñkhoñ meñ nazar nazar aa na sakūñ

    dil jalānā hai to ai mehr jalā misl-e-kabāb

    daaġh kuchh mohr nahīñ hai jo uThā na sakūñ

    tah-e-shamshīr-e-do-dam ḳhush huuñ ye shīshe tarah

    ek dam sañg-diloñ se maiñ banā na sakūñ

    ham-nashīñ yaar ho kyā ye hai nasīboñ meñ firāq

    joḌ a.azā ke bhī ukhḌeñ to biThā na sakūñ

    ḳhud farāmosh huuñ aisā ki dil-e-be-ḳhud se

    yaad us but bhulā.ūñ to bhulā na sakūñ

    ḳhāma hai azalī sīna-figārī merī

    zaḳhm-e-dil laakh silā.ūñ pa silā na sakūñ

    dastaras kākul-e-ḳhamdār ye honā muhāl

    ye vo nāgan hai jo hāthoñ pe khilā na sakūñ

    nāznīñ ye hai ki ai 'shād' nazar-bāzoñ ko

    kamar us jo dikhā.ūñ to dikhā na sakūñ

    na-tawan wo hun nigahon mein sama hi na sakun

    bharun aankhon mein nazar sa nazar aa hi na sakun

    dil jalana hai to ai mehr jala misl-e-kabab

    dagh kuchh mohr nahin hai jo uTha hi na sakun

    tah-e-shamshir-e-do-dam KHush hun ye shishe ki tarah

    ek dam sang-dilon se main bana hi na sakun

    ham-nashin yar ho kya ye hai nasibon mein firaq

    joD aaza ke bhi ukhDen to biTha hi na sakun

    KHud faramosh hun aisa ki dil-e-be-KHud se

    yaad us but ki bhulaun to bhula hi na sakun

    KHama sa hai azali sina-figari meri

    zaKHm-e-dil lakh silaun pa sila hi na sakun

    dastaras kakul-e-KHamdar ye hona hi muhaal

    ye wo nagan hai jo hathon pe khila hi na sakun

    naznin ye hai ki ai 'shad' nazar-bazon ko

    kamar us ki jo dikhaun to dikha hi na sakun

    Source:

    Sukhan-e-Bemisal: Deewan-e-Shad (pdf) and website (Pg. p-74 e-80 pdf-81)

    • Author: Shad Lakhnavi
      • Edition: 1901
      • Publisher: Matbaa Tasweer-e- Alam, Lucknow
      • Year of Publication: 1901
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now