Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na-umidi mein umidon ka safar jari hai

Shakeel Azmi

na-umidi mein umidon ka safar jari hai

Shakeel Azmi

MORE BYShakeel Azmi

    nā-umīdī meñ umīdoñ safar jaarī hai

    phuul chaah meñ kāñToñ safar jaarī hai

    ab bhī kuchh ḳhvāb bhaTakte haiñ khulī saḌkoñ par

    ab bhī TuuTe hue rishtoñ safar jaarī hai

    ab bhī uḌtā hai ḳhayāloñ meñ dhuāñ maazī

    ab bhī be-nām azāboñ safar jaarī hai

    ab bhī dīvār ke us paar se aatī hai sadā

    ab bhī vīrāne meñ rūhoñ safar jaarī hai

    ab bhī ik TuuTe hue ḳhvāb se rishta hai mirā

    ab bhī bhīgī huī rātoñ safar jaarī hai

    giit gaatī hai mire gaañv meñ sāvan phuvār

    niim ke peḌ pe jhūloñ safar jaarī hai

    na-umidi mein umidon ka safar jari hai

    phul ki chah mein kanTon ka safar jari hai

    ab bhi kuchh KHwab bhaTakte hain khuli saDkon par

    ab bhi TuTe hue rishton ka safar jari hai

    ab bhi uDta hai KHayalon mein dhuan mazi ka

    ab bhi be-nam azabon ka safar jari hai

    ab bhi diwar ke us par se aati hai sada

    ab bhi virane mein ruhon ka safar jari hai

    ab bhi ek TuTe hue KHwab se rishta hai mera

    ab bhi bhigi hui raaton ka safar jari hai

    git gati hai mere ganw mein sawan ki phuwar

    nim ke peD pe jhulon ka safar jari hai

    Source:

    Dhoop Dariya (Pg. 103)

    • Author: Shakeel Azmi
      • Publisher: Jawaz Publications, Malegaon
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now