Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nam akbar to mera man ki dua ne rakkha

Akbar Hameedi

nam akbar to mera man ki dua ne rakkha

Akbar Hameedi

MORE BYAkbar Hameedi

    naam 'akbar' to mirā maañ duā ne rakkhā

    haañ bharam us magar mere ḳhudā ne rakkhā

    vo bhī din thā ki tire aane paiġhām aayā

    tab mire ghar meñ qadam bād-e-sabā ne rakkhā

    kis tarah logoñ ne māñgīñ thiiñ duā.eñ us

    kuchh lihāz is na be-mehr havā ne rakkhā

    aise hālāt meñ ik roz na sakte the

    ham ko zinda tire paimān-e-vafā ne rakkhā

    ittifāqāt ke pīchhe bhī haiñ asbāb-o-ilal

    ik na ik apnā sabab dast-e-qazā ne rakkhā

    jis ne rakkhā tirī miTtī huī qadroñ lihāz

    kuchh ḳhayāl is nahīñ ne zamāne rakkhā

    sirf 'akbar' nahīñ dekh ke tasvīr huā

    sab ko hairāñ tire naqsh-e-kaf-e-pā ne rakkhā

    nam 'akbar' to mera man ki dua ne rakkha

    han bharam us ka magar mere KHuda ne rakkha

    wo bhi din tha ki tere aane ka paigham aaya

    tab mere ghar mein qadam baad-e-saba ne rakkha

    kis tarah logon ne mangin thin duaen us ki

    kuchh lihaz is ka na be-mehr hawa ne rakkha

    aise haalat mein ek roz na ji sakte the

    hum ko zinda tere paiman-e-wafa ne rakkha

    ittifaqat ke pichhe bhi hain asbab-o-ilal

    ek na ek apna sabab dast-e-qaza ne rakkha

    jis ne rakkha teri miTti hui qadron ka lihaz

    kuchh KHayal is ka nahin tu ne zamane rakkha

    sirf 'akbar' hi nahin dekh ke taswir hua

    sab ko hairan tere naqsh-e-kaf-e-pa ne rakkha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now