Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nam-e-wafa pe de ke jaan dil ne wafa KHarid li

Manzar Lakhnavi

nam-e-wafa pe de ke jaan dil ne wafa KHarid li

Manzar Lakhnavi

MORE BYManzar Lakhnavi

    nām-e-vafā pe de ke jaan dil ne vafā ḳharīd

    thī bhī ḳharīdne chiiz ḳhuub kiyā ḳharīd

    hasb-e-mazāq o hasb-e-shauq ek ik adā ḳharīd

    us ne jafā.eñ mol liiñ maiñ ne vafā ḳharīd

    zabt dil meñ kar ke ahd un se baḌhāyā mel-jol

    dard se pahle dard ham ne davā ḳharīd

    ahd-e-shabāb thā bahār aur sajā bahār ko

    jitnī jahāñ meñ mil sakī is ne hayā ḳharīd

    zarf se baḌh ke ne.amat-e-ishq bhī maut ban ga.ī

    ham ne bhī to ġhazab kiyā had se sivā ḳharīd

    ishq kār-gāh se husn bārgāh se

    jis ko na aur kuchh milā is ne qazā ḳharīd

    dete dilāte be-talab toḌ ke haath rakh diye

    tere karam ne tāqat-e-dast-e-duā ḳharīd

    aaj nasīb-e-dushmanāñ chehra hai kyuuñ udaas udaas

    merī tarah balā-e-ishq tum ne bhī kyā ḳharīd

    'manzar' unheñ dikhā ke zahr kah rahā hai ḳhushī ḳhushī

    liije davā le aa.e mol liije shifā ḳharīd

    nam-e-wafa pe de ke jaan dil ne wafa KHarid li

    thi bhi KHaridne ki chiz KHub kiya KHarid li

    hasb-e-mazaq o hasb-e-shauq ek ek ada KHarid li

    us ne jafaen mol lin main ne wafa KHarid li

    zabt ka dil mein kar ke ahd un se baDhaya mel-jol

    dard se pahle dard ki hum ne dawa KHarid li

    ahd-e-shabab tha bahaar aur saja bahaar ko

    jitni jahan mein mil saki is ne haya KHarid li

    zarf se baDh ke neamat-e-ishq bhi maut ban gai

    hum ne bhi to ghazab kiya had se siwa KHarid li

    ishq ki kar-gah se husn ki bargah se

    jis ko na aur kuchh mila is ne qaza KHarid li

    dete dilate be-talab toD ke hath rakh diye

    tere karam ne taqat-e-dast-e-dua KHarid li

    aaj nasib-e-dushmanan chehra hai kyun udas udas

    meri tarah bala-e-ishq tum ne bhi kya KHarid li

    'manzar' unhen dikha ke zahr kah raha hai KHushi KHushi

    lije dawa le aae mol lije shifa KHarid li

    Source:

    ManzaristanáDeewan-e-Manzarâ (Pg. ebook-89 page-88)

    • Author: Syed Jafar Husain Manzar Lakhnawi
      • Edition: 1962
      • Publisher: Shiri Tulshi Ram Vesh
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now