Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naseh ko jeb sine se fursat kabhu na ho

Sauda Mohammad Rafi

naseh ko jeb sine se fursat kabhu na ho

Sauda Mohammad Rafi

MORE BYSauda Mohammad Rafi

    nāseh ko jeb siine se fursat kabhū na ho

    dil yaar se phaTe to kisī se rafū na ho

    is dil ko de ke luuñ do jahāñ ye kabhū na ho

    saudā to hove tab ye ki jab us meñ na ho

    ā.īna-e-vajūd adam meñ agar tirā

    vo darmiyāñ na ho to kahīñ ham ko na ho

    jhagḌā to husn o ishq chuktā hai pal ke biich

    gar mahkame meñ qaazī ke rū-ba-rū na ho

    qatre khul ga.ī hai girah varna ai nasīm

    shor-e-dimāġh murġh-e-chaman gul na ho

    guzre so guzre ahl-e-zamīñ uupar ai falak

    ā.inda yaañ talak to koī ḳhūb-rū na ho

    dil le ke tujh se barq ke shole ko dījiye

    par hai ye Dar ki us bhī aisī ḳhū na ho

    gul na tuḳhm murġh-e-chaman kar sake talāsh

    ham ḳhām-fitratoñ se tirī justujū na ho

    'saudā' badal ke qāfiya is ġhazal ko kah

    ai be-adab dard se bas dū-ba-dū na ho

    naseh ko jeb sine se fursat kabhu na ho

    dil yar se phaTe to kisi se rafu na ho

    is dil ko de ke lun do jahan ye kabhu na ho

    sauda to howe tab ye ki jab us mein tu na ho

    aaina-e-wajud adam mein agar tera

    wo darmiyan na ho to kahin hum ko ru na ho

    jhagDa to husn o ishq ka chukta hai pal ke bich

    gar mahkame mein qazi ke tu ru-ba-ru na ho

    qatre ki khul gai hai girah warna ai nasim

    shor-e-dimagh murgh-e-chaman gul ki bu na ho

    guzre so guzre ahl-e-zamin upar ai falak

    aainda yan talak to koi KHub-ru na ho

    dil le ke tujh se barq ke shole ko dijiye

    par hai ye Dar ki us ki bhi aisi hi KHu na ho

    gul ki na tuKHm murgh-e-chaman kar sake talash

    hum KHam-fitraton se teri justuju na ho

    'sauda' badal ke qafiya tu is ghazal ko kah

    ai be-adab tu dard se bas du-ba-du na ho

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    naseh ko jeb sine se fursat kabhu na ho Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now