Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naghma-e-mina hai raqs-e-jam hai

Sabir Abuhari

naghma-e-mina hai raqs-e-jam hai

Sabir Abuhari

MORE BYSabir Abuhari

    naġhma-e-mīnā hai raqs-e-jām hai

    kahāñ ai gardish-e-ayyām hai

    ho na jaa.e husn par jab tak nisār

    zindagī ilzām ilzām hai

    uTh ga.e sab mai-kashān-e-sarfarosh

    mai-kadoñ meñ ab ḳhudā naam hai

    pher liiñ jis se nigāheñ aap ne

    us qismat meñ kahāñ ārām hai

    tum nā-mahram ho varna mai-kasho

    zindagī ḳhud ik chhalaktā jaam hai

    aadmī ko mārtī hai zindagī

    maut par to muft ilzām hai

    tere bas rog ai 'sābir' nahīñ

    shā.erī to dil-jaloñ kaam hai

    naghma-e-mina hai raqs-e-jam hai

    tu kahan ai gardish-e-ayyam hai

    ho na jae husn par jab tak nisar

    zindagi ilzam hi ilzam hai

    uTh gae sab mai-kashan-e-sarfarosh

    mai-kadon mein ab KHuda ka nam hai

    pher lin jis se nigahen aap ne

    us ki qismat mein kahan aaram hai

    tum hi na-mahram ho warna mai-kasho

    zindagi KHud ek chhalakta jam hai

    aadmi ko marti hai zindagi

    maut par to muft ka ilzam hai

    tere bas ka rog ai 'sabir' nahin

    shaeri to dil-jalon ka kaam hai

    Source:

    (Pg. 47)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now