Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin ki zinda hai bas ek meri zat mein ishq

Ezaz Kazmi

nahin ki zinda hai bas ek meri zat mein ishq

Ezaz Kazmi

MORE BYEzaz Kazmi

    nahīñ ki zinda hai bas ek merī zaat meñ ishq

    maiñ sach kahūñ to faqat hai kā.enāt meñ ishq

    maiñ ishq-zād charāġhoñ bazm meñ rahā huuñ

    so jal rahā hai abhī mere daa.eñ haat meñ ishq

    vo husn nuur bārish meñ jab nahā rahā thā

    machal rahā thā bahut tab tajalliyāt meñ ishq

    maiñ sochtā huuñ ki kyā hotā dahr meñ har

    agar na hotā kahīñ tere shash-jahāt meñ ishq

    qalam se likkhā gayā hai varaq pe harf-e-sukūt

    taḌap rahā hai mirī nīlgūñ davāt meñ ishq

    kahīñ pe zinda hai ye jiit ke har ik baazī

    kahīñ pe raushaniyāñ kar rahā hai maat meñ ishq

    kahīñ haiñ duniyā rañgīniyāñ ta.āqub meñ

    kahīñ jhalaktā hai merī har ek baat meñ ishq

    nahin ki zinda hai bas ek meri zat mein ishq

    main sach kahun to faqat hai hi kaenat mein ishq

    main ishq-zad charaghon ki bazm mein raha hun

    so jal raha hai abhi mere daen hat mein ishq

    wo husn nur ki barish mein jab naha raha tha

    machal raha tha bahut tab tajalliyat mein ishq

    main sochta hun ki kya hota dahr mein har su

    agar na hota kahin tere shash-jahat mein ishq

    qalam se likkha gaya hai waraq pe harf-e-sukut

    taDap raha hai meri nilgun dawat mein ishq

    kahin pe zinda hai ye jit ke har ek bazi

    kahin pe raushaniyan kar raha hai mat mein ishq

    kahin hain duniya ki ranginiyan taaqub mein

    kahin jhalakta hai meri har ek baat mein ishq

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now