Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

namaz kaisi kahan ka roza abhi main shaghl-e-sharab mein hun

Aagha Akbarabadi

namaz kaisi kahan ka roza abhi main shaghl-e-sharab mein hun

Aagha Akbarabadi

MORE BYAagha Akbarabadi

    namāz kaisī kahāñ roza abhī maiñ shaġhl-e-sharāb meñ huuñ

    ḳhudā yaad aa.e kis tarah se butoñ ke qahr-o-itāb meñ huuñ

    sharāb shaġhl ho rahā hai baġhal meñ paatā huuñ maiñ kisī ko

    maiñ jāgtā huuñ ki so rahā huuñ ḳhayāl meñ huuñ ki ḳhvāb meñ huuñ

    na chheḌ is vaqt mujh ko zāhid nahīñ ye mauqa.a hai guftugū

    savār jaatā hai vo sharābī maiñ hāzir us rikāb meñ huuñ

    kabhī sharābī kabhī namāzī kabhī huuñ maiñ rind-gāh zāhid

    ḳhudā Dar hai butoñ khaTkā ajab tarah ke azaab meñ huuñ

    qayāmat aane ḳhauf kaisā taraddud-o-fikr kyuuñ hai 'āġhā'

    hisāb kyā koī mujh se legā batā to maiñ kis hisāb meñ huuñ

    namaz kaisi kahan ka roza abhi main shaghl-e-sharab mein hun

    KHuda ki yaad aae kis tarah se buton ke qahr-o-itab mein hun

    sharab ka shaghl ho raha hai baghal mein pata hun main kisi ko

    main jagta hun ki so raha hun KHayal mein hun ki KHwab mein hun

    na chheD is waqt mujh ko zahid nahin ye mauqa hai guftugu ka

    sawar jata hai wo sharabi main hazir us ki rikab mein hun

    kabhi sharabi kabhi namazi kabhi hun main rind-gah zahid

    KHuda ka Dar hai buton ka khaTka ajab tarah ke azab mein hun

    qayamat aane ka KHauf kaisa taraddud-o-fikr kyun hai 'agha'

    hisab kya koi mujh se lega bata to main kis hisab mein hun

    Source:

    Deewan-e-Aagha (Pg. ebook-86 page-88)

      • Publisher: Matba Ejaz Mohammadi, Agra
      • Year of Publication: 1886
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now