Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naqsh tha aur nam tha hi nahin

Shaheen Abbas

naqsh tha aur nam tha hi nahin

Shaheen Abbas

MORE BYShaheen Abbas

    naqsh thā aur naam thā nahīñ

    ya.anī maiñ itnā aam thā nahīñ

    ḳhvāb se kaam thā vahāñ ki jahāñ

    ḳhvāb koī kaam thā nahīñ

    sab ḳhabar karne vāloñ par afsos

    ye ḳhabar maqām thā nahīñ

    tah-ba-tah intiqām thā sar-e-ḳhāk

    inhidām inhidām thā nahīñ

    ham ne tauhīn qayām kiyā

    is safar meñ qayām thā nahīñ

    ab to hai par hamāre vaqtoñ meñ

    shīsha-e-sub.h-o-shām thā nahīñ

    vo to ham ne kahā ki tum bhī ho

    varna koī nizām thā nahīñ

    naqsh tha aur nam tha hi nahin

    yani main itna aam tha hi nahin

    KHwab se kaam tha wahan ki jahan

    KHwab ka koi kaam tha hi nahin

    sab KHabar karne walon par afsos

    ye KHabar ka maqam tha hi nahin

    tah-ba-tah intiqam tha sar-e-KHak

    inhidam inhidam tha hi nahin

    hum ne tauhin ki qayam kiya

    is safar mein qayam tha hi nahin

    ab to hai par hamare waqton mein

    shisha-e-subh-o-sham tha hi nahin

    wo to hum ne kaha ki tum bhi ho

    warna koi nizam tha hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now