nawa-e-shauq mein shorish bhi hai qarar bhi hai

Aale Ahmad Suroor

nawa-e-shauq mein shorish bhi hai qarar bhi hai

Aale Ahmad Suroor

MORE BYAale Ahmad Suroor

  navā-e-shauq meñ shorish bhī hai qarār bhī hai

  ḳhirad paas bhī ḳhvāboñ kārobār bhī hai

  hazār baar bahāroñ ne dukh diyā mujh ko

  na jaane kyā kyā hai bahāroñ intizār bhī hai

  jahāñ meñ ho ga.ī nā-haq tirī jafā badnām

  kuchh ahl-e-shauq ko dār-o-rasan se pyaar bhī hai

  mire lahū meñ ab itnā bhī rañg kyā hotā

  tarāz-e-shauq meñ aks-e-ruḳh-e-nigār bhī hai

  mire safīne ko sāhil justujū nahīñ

  sitam ye hai kisī tūfāñ intizār bhī hai

  chaman ik nahīñ ā.īna merī mastī

  gavāh josh-e-junūñ zabān-e-ḳhār bhī hai

  ġhurūr-e-ishq ġhurūr-e-vafā ġhurūr-e-nazar

  'surūr' tere gunāhoñ kuchh shumār bhī hai

  nawa-e-shauq mein shorish bhi hai qarar bhi hai

  KHirad ka pas bhi KHwabon ka karobar bhi hai

  hazar bar bahaaron ne dukh diya mujh ko

  na jaane kya kya hai bahaaron ka intizar bhi hai

  jahan mein ho gai na-haq teri jafa badnam

  kuchh ahl-e-shauq ko dar-o-rasan se pyar bhi hai

  mere lahu mein ab itna bhi rang kya hota

  taraaz-e-shauq mein aks-e-ruKH-e-nigar bhi hai

  mere safine ko sahil ki justuju hi nahin

  sitam ye hai kisi tufan ka intizar bhi hai

  chaman hi ek nahin aaina meri masti ka

  gawah josh-e-junun ki zaban-e-KHar bhi hai

  ghurur-e-ishq ghurur-e-wafa ghurur-e-nazar

  'surur' tere gunahon ka kuchh shumar bhi hai

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY