Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazron mein kahan uski wo pahla sa raha main

Mohammad Yaqoob Aamir

nazron mein kahan uski wo pahla sa raha main

Mohammad Yaqoob Aamir

MORE BYMohammad Yaqoob Aamir

    nazroñ meñ kahāñ us vo pahlā rahā maiñ

    hañstā huuñ ki kyā soch ke kartā thā vafā maiñ

    kaun hai ai zehn dastak ye batā de

    har baar āvāz pe detā huuñ sadā maiñ

    yaad aatā hai bachpan meñ bhī ustād ne mere

    jis raah se rokā thā vahī raah chalā maiñ

    ḳhush huā dekhe se ki āzād fazā hai

    bastī se guzartā huā sahrā meñ rukā maiñ

    muddat huī dekhe hue vo shahr-e-nigārāñ

    ai dil kahīñ bhūlā to nahīñ terī adā maiñ

    manzil talab meñ na thā āsān guzarnā

    patthar the bahut raah meñ gir gir ke uThā maiñ

    kyā din haiñ ki ab maut ḳhvāhish hai barābar

    kyā din the ki jab jiine kartā thā duā maiñ

    sach kahiyo ki vāqif ho mire haal se 'āmir'

    duniyā hai ḳhafā mujh se ki duniyā se ḳhafā maiñ

    nazron mein kahan us ki wo pahla sa raha main

    hansta hun ki kya soch ke karta tha wafa main

    tu kaun hai ai zehn ki dastak ye bata de

    har bar ki aawaz pe deta hun sada main

    yaad aata hai bachpan mein bhi ustad ne mere

    jis rah se roka tha wahi rah chala main

    ji KHush hua dekhe se ki aazad faza hai

    basti se guzarta hua sahra mein ruka main

    muddat hui dekhe hue wo shahr-e-nigaran

    ai dil kahin bhula to nahin teri ada main

    manzil ki talab mein na tha aasan guzarna

    patthar the bahut rah mein gir gir ke uTha main

    kya din hain ki ab maut ki KHwahish hai barabar

    kya din the ki jab jine ki karta tha dua main

    sach kahiyo ki waqif ho mere haal se 'amir'

    duniya hai KHafa mujh se ki duniya se KHafa main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now