aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazron se basirat ki nihan kuchh bhi nahin hai

Jameeluddin Aali

nazron se basirat ki nihan kuchh bhi nahin hai

Jameeluddin Aali

MORE BYJameeluddin Aali

    nazroñ se basīrat nihāñ kuchh bhī nahīñ hai

    sab kuchh hai jahāñ aur jahāñ kuchh bhī nahīñ hai

    ham miT ga.e is fitrat-e-āshufta ḳhātir

    hālāñki vo ġhārat-gar-e-jāñ kuchh bhī nahīñ hai

    dil jo na kahiye to zabāñ kāshif-e-asrār

    aur dil jo kahiye to zabāñ kuchh bhī nahīñ hai

    dil vāloñ ko dil vāloñ se hai harf-o-hikāyat

    zāhir meñ mohabbat nishāñ kuchh bhī nahīñ hai

    rañgīn-o-nazar soz-o-manāzir se guzar kar

    pahuñchā huuñ vahāñ maiñ ki jahāñ kuchh bhī nahīñ hai

    ye ishq zāhir ho to hil jaa.eñ do-ālam

    juz chand ishārāt nihāñ kuchh bhī nahīñ hai

    mujh ḳhūgar-e-begānī-e-dost ko 'ālī'

    be-gāñgī-e-ahl-e-jahāñ kuchh bhī nahīñ hai

    nazron se basirat ki nihan kuchh bhi nahin hai

    sab kuchh hai jahan aur jahan kuchh bhi nahin hai

    hum miT gae is fitrat-e-ashufta ki KHatir

    haalanki wo ghaarat-gar-e-jaan kuchh bhi nahin hai

    dil ki jo na kahiye to zaban kashif-e-asrar

    aur dil ki jo kahiye to zaban kuchh bhi nahin hai

    dil walon ko dil walon se hai harf-o-hikayat

    zahir mein mohabbat ka nishan kuchh bhi nahin hai

    rangin-o-nazar soz-o-manazir se guzar kar

    pahuncha hun wahan main ki jahan kuchh bhi nahin hai

    ye ishq ki zahir ho to hil jaen do-alam

    juz chand ishaaraat nihan kuchh bhi nahin hai

    mujh KHugar-e-begani-e-dost ko 'ali'

    be-gangi-e-ahl-e-jahan kuchh bhi nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now