nigah-e-barq thi ab tak to mere hi nasheman par
nigāh-e-barq thī ab tak to mere hī nasheman par
magar ab kuchh taḌap sī dekhtā huuñ saare gulshan par
kahūñ kis tarh ḳhūn-e-be-gunah aur un kī gardan par
nazar aate haiñ lekin kuchh lahū ke daaġh dāman par
kisī bedard ko dard-āshnā karnā bhī kyā jāneñ
vo aañsū jo bahut umDe to gir paḌte haiñ dāman par
kahāñ ab pairahan kī ḳhair gulshan bhī bayābāñ hai
yahāñ bhī kāñTe kāñTe kī nazar hai jeb-o-dāman par
use ye kyā ḳhabar thī tābish-e-ḳhurshīd kyā hogī
jo shabnam sub.h tak sotī rahī phūloñ ke dāman par
vahī ab chāra-sāz-e-dard-e-insāñ ban ke baiThe haiñ
vo jin kī zindagī ḳhud daaġh hai insāñ ke dāman par
sitam hai yā karam is be-par-o-bālī pe kyā kahiye
qafas laTkā diyā sayyād ne shāḳh-e-nasheman par
jab un kī har adā par ḳhud hamārā dam nikaltā ho
to phir kis muñh se kahiye ḳhuun apnā un kī gardan par
udhar ho āshiyāñ-sāzī idhar ho āshiyāñ-sāzī
kahāñ tak bijliyāñ girtī hī jā.eñgī nasheman par
vahāñ jab hasb-e-iste'dād hai in'ām kī bārish
nahīñ phir kyoñ nigāh-e-lutf ho jaatī hai dushman par
ilāhī ḳhatm shab par bhī saverā ho nahīñ saktā
dhuñdalkā sā abhī chhāyā hai rū-e-subh-e-gulshan par
ḳhulūs-e-haq-parastī hai na josh-e-but-parastī hai
paḌī hai os kaisī jazba-e-shaiḳh-o-barahman par
jo khetī ruuh kī murjhā.e jumbish tak nahīñ hotī
laraz jaate haiñ jab bijlī taḌap jaatī hai ḳhirman par
ye 'ārif' kam-nigāhī ham par ik muddat se taarī hai
nigāh-e-intiḳhāb-e-rāhbar paḌtī hai rahzan par
nigah-e-barq thi ab tak to mere hi nasheman par
magar ab kuchh taDap si dekhta hun sare gulshan par
kahun kis tarh KHun-e-be-gunah aur un ki gardan par
nazar aate hain lekin kuchh lahu ke dagh daman par
kisi bedard ko dard-ashna karna bhi kya jaanen
wo aansu jo bahut umDe to gir paDte hain daman par
kahan ab pairahan ki KHair gulshan bhi bayaban hai
yahan bhi kanTe kanTe ki nazar hai jeb-o-daman par
use ye kya KHabar thi tabish-e-KHurshid kya hogi
jo shabnam subh tak soti rahi phulon ke daman par
wahi ab chaara-saz-e-dard-e-insan ban ke baiThe hain
wo jin ki zindagi KHud dagh hai insan ke daman par
sitam hai ya karam is be-par-o-baali pe kya kahiye
qafas laTka diya sayyaad ne shaKH-e-nasheman par
jab un ki har ada par KHud hamara dam nikalta ho
to phir kis munh se kahiye KHun apna un ki gardan par
udhar ho aashiyan-sazi idhar ho aashiyan-sazi
kahan tak bijliyan girti hi jaengi nasheman par
wahan jab hasb-e-iste'dad hai in'am ki barish
nahin phir kyon nigah-e-lutf ho jati hai dushman par
ilahi KHatm shab par bhi sawera ho nahin sakta
dhundalka sa abhi chhaya hai ru-e-subh-e-gulshan par
KHulus-e-haq-parasti hai na josh-e-but-parasti hai
paDi hai os kaisi jazba-e-shaiKH-o-barahman par
jo kheti ruh ki murjhae jumbish tak nahin hoti
laraz jate hain jab bijli taDap jati hai KHirman par
ye 'arif' kam-nigahi hum par ek muddat se tari hai
nigah-e-intiKHab-e-rahbar paDti hai rahzan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.