aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nind TuTi to samundar na jazira dekha

Sultan Akhtar

nind TuTi to samundar na jazira dekha

Sultan Akhtar

MORE BYSultan Akhtar

    Interesting Fact

    Sutoor-Delhi

    niiñd TuuTī to samundar na jazīra dekhā

    raat bhī maiñ ne vahī ḳhvāb-e-shikasta dekhā

    sab pareshān haiñ lamhoñ girāñbārī se

    maiñ ne har shaḳhs ke māthe pe pasīna dekhā

    us ne sahmī huī āñkhoñ pe hathelī rakh

    jab ḳhas-e-jism se uThtā huā sho.ala dekhā

    goshe goshe meñ kisī ḳhauf parchhā.īñ thī

    ghar har chiiz pe aaseb saaya dekhā

    sab peshānī pe hālāt tārīkī thī

    sab ke hoñToñ pe kaḌe vaqt nauha dekhā

    koī tahzīb bhī sā.ista-e-malbūs nahīñ

    jis ko bhī dekhā sar-e-rāh barahna dekhā

    hañs ke milne se tasanño chamak chhup na sakī

    haa.e vo chehra jo maiñ ne pas-e-chehra dekhā

    nind TuTi to samundar na jazira dekha

    raat bhi main ne wahi KHwab-e-shikasta dekha

    sab pareshan hain lamhon ki giranbari se

    main ne har shaKHs ke mathe pe pasina dekha

    us ne sahmi hui aankhon pe hatheli rakh li

    jab KHas-e-jism se uThta hua shoala dekha

    goshe goshe mein kisi KHauf ki parchhain thi

    ghar ki har chiz pe aaseb ka saya dekha

    sab ki peshani pe haalat ki tariki thi

    sab ke honTon pe kaDe waqt ka nauha dekha

    koi tahzib bhi saista-e-malbus nahin

    jis ko bhi dekha sar-e-rah barahna dekha

    hans ke milne se tasanno ki chamak chhup na saki

    hae wo chehra jo main ne pas-e-chehra dekha

    Source:

    1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 89)

    • Author: Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: 1972
      • Publisher: P.K. Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now