Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nikla jo chilmanon se wo chehra aaftabi

Fayyaz Farooqi

nikla jo chilmanon se wo chehra aaftabi

Fayyaz Farooqi

MORE BYFayyaz Farooqi

    niklā jo chilmanoñ se vo chehra āftābī

    ik aan meñ ufuq āñchal huā gulābī

    ruḳh se naqāb un ke sarkā huā hai kuchh kuchh

    dīvāna kar na Daale ye nīm-be-hijābī

    sau jaam nasha hai saaqī tirī nazar meñ

    kahte haiñ bāda-kash bhī mujh ko tirā sharābī

    bekār lag rahī haiñ duniyā sab kitābeñ

    dekhī hai jab se maiñ ne sūrat tirī kitābī

    murjhā.e phuul sab haiñ kaliyoñ ne sar jhukā.e

    gulshan meñ ik sitam hai ye terī be-naqābī

    kab chain se rahā hai ye fikr parinda

    'fayyāz' hai fitrat kis darja iztirābī

    nikla jo chilmanon se wo chehra aaftabi

    ek aan mein ufuq ka aanchal hua gulabi

    ruKH se naqab un ke sarka hua hai kuchh kuchh

    diwana kar na Dale ye nim-be-hijabi

    sau jam ka nasha hai saqi teri nazar mein

    kahte hain baada-kash bhi mujh ko tera sharabi

    bekar lag rahi hain duniya ki sab kitaben

    dekhi hai jab se main ne surat teri kitabi

    murjhae phul sab hain kaliyon ne sar jhukae

    gulshan mein ek sitam hai ye teri be-naqabi

    kab chain se raha hai ye fikr ka parinda

    'fayyaz' ki hai fitrat kis darja iztirabi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now