Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nishan apna miTata ja raha hun

Abr Ahsani Ganauri

nishan apna miTata ja raha hun

Abr Ahsani Ganauri

MORE BYAbr Ahsani Ganauri

    nishān apnā miTātā rahā huuñ

    tire nazdīk aatā rahā huuñ

    maiñ apne zauq-e-ulfat ke tasadduq

    sitam par muskurātā rahā huuñ

    musalsal baj rahā hai barbat-e-jaur

    vafā ke giit gaatā rahā huuñ

    fasāna naza.a meñ nākāmiyoñ

    nigāhoñ se sunātā rahā huuñ

    mohabbat hotī jaatī hai mukammal

    musībat meñ samātā rahā huuñ

    mazāq-e-justujū hai apnā apnā

    unheñ gum ho ke paatā rahā huuñ

    yahāñ to hairateñ hairateñ haiñ

    ye kis mahfil meñ aatā rahā huuñ

    mirī aahoñ ke haiñ duniyā meñ charche

    jahāñ par 'abr' chhātā rahā huuñ

    nishan apna miTata ja raha hun

    tere nazdik aata ja raha hun

    main apne zauq-e-ulfat ke tasadduq

    sitam par muskuraata ja raha hun

    musalsal baj raha hai barbat-e-jaur

    wafa ke git gata ja raha hun

    fasana naza mein nakaamiyon ka

    nigahon se sunata ja raha hun

    mohabbat hoti jati hai mukammal

    musibat mein samata ja raha hun

    mazaq-e-justuju hai apna apna

    unhen gum ho ke pata ja raha hun

    yahan to hairaten hi hairaten hain

    ye kis mahfil mein aata ja raha hun

    meri aahon ke hain duniya mein charche

    jahan par 'abr' chhata ja raha hun

    Source:

    Nagine (Pg. 101)

    • Author: Abr Ahsani Ganauri
      • Publisher: State Press, Rampur
      • Year of Publication: 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now