Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

numayan jab wo apne zehn ki taswir karta hai

Abrar Kiratpuri

numayan jab wo apne zehn ki taswir karta hai

Abrar Kiratpuri

MORE BYAbrar Kiratpuri

    numāyāñ jab vo apne zehn tasvīr kartā hai

    har ik ahl-e-mohabbat ko bahut dil-gīr kartā hai

    vo kyuuñ masrūr hotā hai hamārā ḳhuun bahne se

    sar-e-haq kis liye zālim tah-e-shamshīr kartā hai

    vafā naam letā hai vafā-nā-āshnā ho kar

    vo ḳhud ko intihā.ī pārsā ta.abīr kartā hai

    jise mahrūm honā hai vahī hai mutma.in yaaro

    jo hai nusrat tālib har qadam tadbīr kartā hai

    har ik insān ke a.amāl bhī yaksāñ nahīñ hote

    koī ghar toḌ detā hai koī ta.amīr kartā hai

    sadāqat par kabhī un asar hone nahīñ paatā

    vo apne kārnāmoñ bahut tash.hīr kartā hai

    koī bhī mas.ala 'abrār' hal hone nahīñ paatā

    masā.il vo hamāre sūrat-e-kashmīr kartā hai

    numayan jab wo apne zehn ki taswir karta hai

    har ek ahl-e-mohabbat ko bahut dil-gir karta hai

    wo kyun masrur hota hai hamara KHun bahne se

    sar-e-haq kis liye zalim tah-e-shamshir karta hai

    wafa ka nam leta hai wafa-na-ashna ho kar

    wo KHud ko intihai parsa tabir karta hai

    jise mahrum hona hai wahi hai mutmain yaro

    jo hai nusrat ka talib har qadam tadbir karta hai

    har ek insan ke aamal bhi yaksan nahin hote

    koi ghar toD deta hai koi tamir karta hai

    sadaqat par kabhi un ka asar hone nahin pata

    wo apne karnamon ki bahut tashhir karta hai

    koi bhi masala 'abrar' hal hone nahin pata

    masail wo hamare surat-e-kashmir karta hai

    Source:

    Roshani Takhayyul ki (Pg. 79)

    • Author: Abrar Kiratpuri
      • Edition: 2006
      • Publisher: Markaz-e-ilm-o-Danish Qudsiya Manzil
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now