Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ochhi thi nazar hi jab to bhala arman-e-tamasha kya karte

Ijtiba Rizvi

ochhi thi nazar hi jab to bhala arman-e-tamasha kya karte

Ijtiba Rizvi

MORE BYIjtiba Rizvi

    ochhī thī nazar jab to bhalā armān-e-tamāshā kyā karte

    zarre ke jigar tak na sake ham himmat-e-sahrā kyā karte

    raat us ne naqāb ulTī jo zarā sab band ta.ayyun TuuT ga.e

    vo vo na rahā ham ham na rahe ai shauq-e-tamāshā kyā karte

    be-kaif hamārā jiinā thā be-mai sāġhar piinā thā

    us dil meñ tamannā na ugī ham tark-e-tamannā kyā karte

    tum ne chaman ko luuT liyā tum ne nasheman phūñk diyā

    ham shukr himmat kar na sake sharmā ga.e shikva kiyā karte

    ochhi thi nazar hi jab to bhala arman-e-tamasha kya karte

    zarre ke jigar tak ja na sake hum himmat-e-sahra kya karte

    raat us ne naqab ulTi jo zara sab band tayyun TuT gae

    wo wo na raha hum hum na rahe ai shauq-e-tamasha kya karte

    be-kaif hamara jina tha be-mai ka saghar pina tha

    us dil mein tamanna hi na ugi hum tark-e-tamanna kya karte

    tum ne hi chaman ko luT liya tum ne hi nasheman phunk diya

    hum shukr ki himmat kar na sake sharma gae shikwa kiya karte

    Source:

    Shola-e-Nida (Pg. 191)

    • Author: Ijtiba Rizvi
      • Publisher: Husain Ahmad Madani
      • Year of Publication: 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now