pa-ba-zanjir thin haalat ki mari chiKHen
pā-ba-zanjīr thiiñ hālāt kī maarī chīḳheñ
aah ban kar hī nikal pā.īñ hamārī chīḳheñ
chīḳhte chīḳhte kohrām machā rakkhā hai
phir bhī suntā hai yahāñ kaun tumhārī chīḳheñ
sunñe vaalā hī nahīñ thā koī tanhā.ī thī
siskiyāñ ban ga.iiñ āḳhir meñ hamārī chīḳheñ
pahle dekhā na sunā dard kā mātam aisā
vo samā'at pe saraktī huī aarī chīḳheñ
shor karnā to thā mamnū' tirī bastī meñ
to siyāhī se hī kāġhaz pe utārī chīḳheñ
gūñjtī hī rahīñ jangal kī fazā.eñ paiham
jab talak paḌ na ga.iiñ saañs pe bhārī chīḳheñ
ek din phuuT ke niklegā sadā kā dariyā
ham ne siine meñ chhupā rakkhī haiñ saarī chīḳheñ
pa-ba-zanjir thin haalat ki mari chiKHen
aah ban kar hi nikal pain hamari chiKHen
chiKHte chiKHte kohram macha rakkha hai
phir bhi sunta hai yahan kaun tumhaari chiKHen
sunne wala hi nahin tha koi tanhai thi
siskiyan ban gain aaKHir mein hamari chiKHen
pahle dekha na suna dard ka matam aisa
wo sama'at pe sarakti hui aari chiKHen
shor karna to tha mamnu' teri basti mein
to siyahi se hi kaghaz pe utari chiKHen
gunjti hi rahin jangal ki fazaen paiham
jab talak paD na gain sans pe bhaari chiKHen
ek din phuT ke niklega sada ka dariya
hum ne sine mein chhupa rakkhi hain sari chiKHen
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 115)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.