Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paband-e-gham-e-ulfat hi rahe go dard-e-dahindan aur sahi

Irfan Ahmad mir

paband-e-gham-e-ulfat hi rahe go dard-e-dahindan aur sahi

Irfan Ahmad mir

MORE BYIrfan Ahmad mir

    pāband-e-ġham-e-ulfat rahe go dard-e-dahindāñ aur sahī

    ashkoñ ravānī tham na sakī āñkhoñ ke the armāñ aur sahī

    ādāb-e-chaman anjām to de gul se na haTā titlī ko sabā

    ulfat hayā mahfūz rahe go tujh meñ hoñ tūfāñ aur sahī

    ho sa.i-e-karam ġhairoñ pe agar apnoñ pe mazāq-e-ām na ho

    ham raah meñ haiñ Thokar to de manzil ke hoñ shāyāñ aur sahī

    is dasht-e-vafā meñ qais bhī hai aur shaiḳh bhī hai mushtāq-e-milan

    jo vasl nahīñ to kyā ġham hai kuchh lamhe ibārāñ aur sahī

    ik gul jo girā barnā.ī meñ bulbul ko yahī afsos rahā

    mashġhūl rahā ġham-ḳhvārī meñ hoñ fasl-e-bahārāñ aur sahī

    andāz-e-sabā se vāqif huuñ aur rabt-e-bahar se bhī bāliġh

    ruḳh moḌ ke chalnā jiinā hai ḳhvāh us ke hoñ pāyāñ aur sahī

    paband-e-gham-e-ulfat hi rahe go dard-e-dahindan aur sahi

    ashkon ki rawani tham na saki aankhon ke the arman aur sahi

    aadab-e-chaman anjam to de gul se na haTa titli ko saba

    ulfat ki haya mahfuz rahe go tujh mein hon tufan aur sahi

    ho sai-e-karam ghairon pe agar apnon pe mazaq-e-am na ho

    hum rah mein hain Thokar hi to de manzil ke hon shayan aur sahi

    is dasht-e-wafa mein qais bhi hai aur shaiKH bhi hai mushtaq-e-milan

    jo wasl nahin to kya gham hai kuchh lamhe ibaran aur sahi

    ek gul jo gira barnai mein bulbul ko yahi afsos raha

    mashghul raha gham-KHwari mein hon fasl-e-bahaaran aur sahi

    andaz-e-saba se waqif hun aur rabt-e-bahar se bhi baaligh

    ruKH moD ke chalna jina hai KHwah us ke hon payan aur sahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now