Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paya tere kushton ne jo maidan-e-bayaban

Agha Hajju Sharaf

paya tere kushton ne jo maidan-e-bayaban

Agha Hajju Sharaf

MORE BYAgha Hajju Sharaf

    paayā tire kushtoñ ne jo maidān-e-bayābāñ

    shān-e-chaman-e-ḳhuld huī shān-e-bayābāñ

    dīvāna tirā mar ke huā zinda-e-jāved

    ruuh us jo niklī to huī jān-e-bayābāñ

    mujh bhī jahāñ meñ koī saudā.ī na hogā

    samjhā lahad-e-qais ko aivān-e-bayābāñ

    vīrāna-nashīnī hai azal se mirī jāgīr

    qismat ne diyā hai mujhe farmān-e-bayābāñ

    vahshat pe mirī āhūoñ ke bahte haiñ aañsū

    hairat pe mirī rote haiñ haivān-e-bayābāñ

    hai ālam-e-hū turbat-e-majnūñ mujāvar

    sannāTe aalam hai nigahbān-e-bayābāñ

    jis roz mire hosh ke ham-rāh uḌeñge

    dam toḌ ke mar jā.eñge murġhān-e-bayābāñ

    ik din ye mauqūf huā ḳhaak uḌnā

    kyā kyā na kiyā qais ne sāmān-e-bayābāñ

    parvā na thī bastī na thī yaad vatan

    allāh re mad-hoshī-o-nisyān-e-bayābāñ

    rahte haiñ mire gird parī-zād hazāroñ

    huuñ ālam-e-vahshat meñ sulaimān-e-bayābāñ

    lailā pe jo aalam hai to majnūñ bhī hai ḳhush-rū

    vo hūr-e-bayābāñ hai vo ġhilmān-e-bayābāñ

    is tabqe manzūr jo tum ne tabāhī

    barbādī huī dast-o-garebān-e-bayābāñ

    afsos hai is najd ko majnūñ ne basāyā

    lailā jise kahtī hai bayābān-e-bayābāñ

    dil khol ke chāhtā hai ḳhaak uḌā.ūñ

    phirne ko milā hai mujhe maidān-e-bayābāñ

    jis din se banī hai tire dīvāne turbat

    hote haiñ parī-zād bhī qurbān-e-bayābāñ

    sheroñ ke hilā Daale haiñ dil us ke junūñ ne

    majnūñ hai ki hai rustam-e-dastān-e-bayābāñ

    jis vaqt 'sharaf' lailā o majnūñ ne qazā

    ik ġhul huā ruḳhsat hue mehmān-e-bayābāñ

    paya tere kushton ne jo maidan-e-bayaban

    shan-e-chaman-e-KHuld hui shan-e-bayaban

    diwana tera mar ke hua zinda-e-jawed

    ruh us ki jo nikli to hui jaan-e-bayaban

    mujh sa bhi jahan mein koi saudai na hoga

    samjha lahad-e-qais ko aiwan-e-bayaban

    virana-nashini hai azal se meri jagir

    qismat ne diya hai mujhe farman-e-bayaban

    wahshat pe meri aahuon ke bahte hain aansu

    hairat pe meri rote hain haiwan-e-bayaban

    hai aalam-e-hu turbat-e-majnun ka mujawar

    sannaTe ka aalam hai nigahban-e-bayaban

    jis roz mere hosh ke ham-rah uDenge

    dam toD ke mar jaenge murghan-e-bayaban

    ek din hi ye mauquf hua KHak ka uDna

    kya kya na kiya qais ne saman-e-bayaban

    parwa na thi basti ki na thi yaad watan ki

    allah re mad-hoshi-o-nisyan-e-bayaban

    rahte hain mere gird pari-zad hazaron

    hun aalam-e-wahshat mein sulaiman-e-bayaban

    laila pe jo aalam hai to majnun bhi hai KHush-ru

    wo hur-e-bayaban hai wo ghilman-e-bayaban

    is tabqe ki manzur jo ki tum ne tabahi

    barbaadi hui dast-o-gareban-e-bayaban

    afsos hai is najd ko majnun ne basaya

    laila jise kahti hai bayaban-e-bayaban

    dil khol ke ji chahta hai KHak uDaun

    phirne ko mila hai mujhe maidan-e-bayaban

    jis din se bani hai tere diwane ki turbat

    hote hain pari-zad bhi qurban-e-bayaban

    sheron ke hila Dale hain dil us ke junun ne

    majnun hai ki hai rustam-e-dastan-e-bayaban

    jis waqt 'sharaf' laila o majnun ne qaza ki

    ek ghul hua ruKHsat hue mehman-e-bayaban

    Source:

    Deewan-e-Sharf(Rekhta Website) (Pg. 156)

    • Author: Agha Hajju Sharaf
      • Publisher: Matba Jafari, Luckhnow
      • Year of Publication: 1875
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now