Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paDh ke hairan hun KHabar aKHbar mein

Mohammad Alvi

paDh ke hairan hun KHabar aKHbar mein

Mohammad Alvi

MORE BYMohammad Alvi

    paḌh ke hairāñ huuñ ḳhabar aḳhbār meñ

    maiñ alif nañgā phirā bāzār meñ

    mere andar darinda jaag uThā

    chhup gayā maiñ dil ke andhe ġhaar meñ

    ḳhuun kar bhī na sīdhī ho sakī

    thā tirā bāñkpan talvār meñ

    mere aage raat dīvār thī

    koī darvāza na thā dīvār meñ

    shā.erī meñ dhuul kyuuñ uḌne lagī

    phuul kyuuñ khilte nahīñ ash.ār meñ

    muft meñ 'alvī' ko shohrat mil ga.ī

    aur ham pakḌe ga.e be-kār meñ

    paDh ke hairan hun KHabar aKHbar mein

    main alif nanga phira bazar mein

    mere andar ka darinda jag uTha

    chhup gaya main dil ke andhe ghaar mein

    KHun pi kar bhi na sidhi ho saki

    tha tera hi bankpan talwar mein

    mere aage raat ki diwar thi

    koi darwaza na tha diwar mein

    shaeri mein dhul kyun uDne lagi

    phul kyun khilte nahin ashaar mein

    muft mein 'alwi' ko shohrat mil gai

    aur hum pakDe gae be-kar mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now