Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pae-gunah hai teri panah ki taKHsis

Mirza Asman Jah Anjum

pae-gunah hai teri panah ki taKHsis

Mirza Asman Jah Anjum

MORE BYMirza Asman Jah Anjum

    pa.e-gunāh hai terī panāh taḳhsīs

    ki hai tujhī pe har ik dād-ḳhvāh taḳhsīs

    jo aap samjhe haiñ mujrim hameñ to kuchh nahīñ Dar

    ki hai aap ne do gavāh taḳhsīs

    firāq-e-yār meñ be-ro.e ban nahīñ paḌtī

    asar ke vāste kar hai aah taḳhsīs

    na dil churāte hamārā na tum ḳhajil hote

    pa.e-hijāb hai nīchī nigāh taḳhsīs

    dikhāve aur koī apnā yaar zohra-jabīñ

    jo āsmāñ nahīñ us rashk-e-māh taḳhsīs

    pahuñch jaate kabhī phir phirā ke dar pe tire

    ye ne kaahe ko ek raah taḳhsīs

    tamām ḳhalq-e-ḳhudā tujh ko chāhne lagtī

    lagā na detā agar panāh taḳhsīs

    vo mujh se kahte haiñ tum chāhte nahīñ mujh ko

    mire Dubone ko karte haiñ chaah taḳhsīs

    hai terī zarra-navāzī ye dalīl adnā

    ki āsmāñ ke hai ham-rāh jaah taḳhsīs

    pae-gunah hai teri panah ki taKHsis

    ki hai tujhi pe har ek dad-KHwah ki taKHsis

    jo aap samjhe hain mujrim hamein to kuchh nahin Dar

    ki ki hai aap hi ne do gawah ki taKHsis

    firaq-e-yar mein be-roe ban nahin paDti

    asar ke waste kar di hai aah ki taKHsis

    na dil churaate hamara na tum KHajil hote

    pae-hijab hai nichi nigah ki taKHsis

    dikhawe aur koi apna yar zohra-jabin

    jo aasman nahin us rashk-e-mah ki taKHsis

    pahunch hi jate kabhi phir phira ke dar pe tere

    ye tu ne kahe ko ki ek rah ki taKHsis

    tamam KHalq-e-KHuda tujh ko chahne lagti

    laga na deta agar tu panah ki taKHsis

    wo mujh se kahte hain tum chahte nahin mujh ko

    mere Dubone ko karte hain chah ki taKHsis

    hai teri zarra-nawazi ki ye dalil adna

    ki aasman ke hai ham-rah jah ki taKHsis

    Source:

    Deewan-e-Anjum(website) (Pg. 67)

    • Author: Mirza Asman Jah Anjum
      • Edition: 1959
      • Publisher: Raja Ram Kumar Book Depot, Lucknow
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now