Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahchan zindagi ki samajh kar main chup raha

Asrar Akbarabadi

pahchan zindagi ki samajh kar main chup raha

Asrar Akbarabadi

MORE BYAsrar Akbarabadi

    pahchān zindagī samajh kar maiñ chup rahā

    apne pheñkte rahe patthar maiñ chup rahā

    lamhe añdhere dasht meñ piite rahe mujhe

    mujh meñ thā raushnī samundar maiñ chup rahā

    mere lahū ke rañg aisā asar huā

    munsif se boltā rahā ḳhanjar maiñ chup rahā

    bojhal udaas raat thī ḳhāmosh thī havā

    phūloñ aag meñ jalā bistar maiñ chup rahā

    'asrār' kyuuñ kisī se maiñ kartā shikāyateñ

    vo āḳhirī thā raah patthar maiñ chup rahā

    pahchan zindagi ki samajh kar main chup raha

    apne hi phenkte rahe patthar main chup raha

    lamhe andhere dasht mein pite rahe mujhe

    mujh mein tha raushni ka samundar main chup raha

    mere lahu ke rang ka aisa asar hua

    munsif se bolta raha KHanjar main chup raha

    bojhal udas raat thi KHamosh thi hawa

    phulon ki aag mein jala bistar main chup raha

    'asrar' kyun kisi se main karta shikayaten

    wo aaKHiri tha rah ka patthar main chup raha

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 559)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now