Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahle banti hi na thi baat so ab banti hai

Ejazulhaq Shahab

pahle banti hi na thi baat so ab banti hai

Ejazulhaq Shahab

MORE BYEjazulhaq Shahab

    pahle bantī na thī baat so ab bantī hai

    āj-kal un ke tasavvur se ġhazab bantī hai

    chaliye chal kar kahīñ DhūñDe koī ujḌī huī raat

    apnī in chāñd sitāroñ se to kab bantī hai

    nafs jab ruuh pe haavī ho to phir vahshat meñ

    tishnagī dekhiye qurbat sabab bantī hai

    surma.ī shaam meñ sūraj lahū mil jaa.e

    tab kahīñ ke mirī jaan ye shab bantī hai

    phir sambhāle na sambhaltī hai agar bigḌe to

    aur bigāḌe na bigaḌtī hai ki jab bantī hai

    pahle pahle to kisī khel lagtī hai magar

    sar pe chaḌh jaa.e mohabbat to talab bantī hai

    āshiqī had se guzartī hai tabhī ke 'shahāb'

    qais-o-farhād rāñjhe laqab bantī hai

    pahle banti hi na thi baat so ab banti hai

    aaj-kal un ke tasawwur se ghazab banti hai

    chaliye chal kar kahin DhunDe koi ujDi hui raat

    apni in chand sitaron se to kab banti hai

    nafs jab ruh pe hawi ho to phir wahshat mein

    tishnagi dekhiye qurbat ka sabab banti hai

    surmai sham mein suraj ka lahu mil jae

    tab kahin ja ke meri jaan ye shab banti hai

    phir sambhaale na sambhalti hai agar bigDe to

    aur bigaDe na bigaDti hai ki jab banti hai

    pahle pahle to kisi khel si lagti hai magar

    sar pe chaDh jae mohabbat to talab banti hai

    aashiqi had se guzarti hai tabhi ja ke 'shahab'

    qais-o-farhad ka ranjhe ka laqab banti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now