Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahle hota tha bahut ab kabhi hota hi nahin

Sahiba Sheheryar

pahle hota tha bahut ab kabhi hota hi nahin

Sahiba Sheheryar

MORE BYSahiba Sheheryar

    pahle hotā thā bahut ab kabhī hotā nahīñ

    dil mirā kāñch thā TuuTā to ye rotā nahīñ

    vo jo hañste the mire saath unheñ DhūñDūñ kahāñ

    kaisī duniyā hai jahāñ koī rasta nahīñ

    ek muddat se maiñ baiThī huuñ yahī aas liye

    chāñd āñgan meñ mire kis liye utrā nahīñ

    mujh ko ma.alūm nahīñ raunaq-e-mahfil kyā hai

    dasht-e-tanhā.ī se dil merā nikaltā nahīñ

    kyā ajab shaḳhs thā har baat pe ḳhush rahtā thā

    vaqt kyā badlā ki vo DhūñDe se miltā nahīñ

    pahle hota tha bahut ab kabhi hota hi nahin

    dil mera kanch tha TuTa to ye rota hi nahin

    wo jo hanste the mere sath unhen DhunDun kahan

    kaisi duniya hai jahan ka koi rasta hi nahin

    ek muddat se main baiThi hun yahi aas liye

    chand aangan mein mere kis liye utra hi nahin

    mujh ko malum nahin raunaq-e-mahfil kya hai

    dasht-e-tanhai se dil mera nikalta hi nahin

    kya ajab shaKHs tha har baat pe KHush rahta tha

    waqt kya badla ki wo DhunDe se milta hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now