Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pal pal jine ki KHwahish mein karb-e-sham-o-sahar manga

Zafar Gorakhpuri

pal pal jine ki KHwahish mein karb-e-sham-o-sahar manga

Zafar Gorakhpuri

MORE BYZafar Gorakhpuri

    pal pal jiine ḳhvāhish meñ karb-e-shām-o-sahar māñgā

    sab the nashāt-e-naf.a ke pīchhe ham ne ranj-e-zarar māñgā

    ab tak jo dastūr-e-junūñ thā ham ne vahī manzar māñgā

    sahrā dil ke barābar chāhā aur āñkhoñ bhar māñgā

    abr ke ehsāñ se bachnā thā dil ko harā bhī rakhnā thā

    ham ne us paude ḳhātir mauja-e-dīda-e-tar māñgā

    fāsle kuchh qadmoñ meñ sameTe āñkhoñ meñ kuchh dhuup ke phuul

    is ke alāva aur na ham ne kuchh sāmān-e-safar māñgā

    koī sar-o-sāmān nahīñ aur āñdhī har din ma.amūl

    ham ne bhī kyā soch samajh kar be-dīvār ghar māñgā

    soch rahā huuñ apnī hastī meñ apnā kyā hissa thā

    dil par yāroñ haq Thahrā aur dushman ne sar māñgā

    khulā ki vo bhī terī talab ik be-nām tasalsul thā

    duniyā se jo bhī ham ne hālāt ke zer-e-asar māñgā

    pal pal jine ki KHwahish mein karb-e-sham-o-sahar manga

    sab the nashat-e-nafa ke pichhe hum ne ranj-e-zarar manga

    ab tak jo dastur-e-junun tha hum ne wahi manzar manga

    sahra dil ke barabar chaha aur ya aankhon bhar manga

    abr ke ehsan se bachna tha dil ko hara bhi rakhna tha

    hum ne us paude ki KHatir mauja-e-dida-e-tar manga

    fasle kuchh qadmon mein sameTe aankhon mein kuchh dhup ke phul

    is ke alawa aur na hum ne kuchh saman-e-safar manga

    koi sar-o-saman nahin aur aandhi har din ka mamul

    hum ne bhi kya soch samajh kar be-diwar ka ghar manga

    soch raha hun apni hasti mein apna kya hissa tha

    dil par yaron ka haq Thahra aur dushman ne sar manga

    khula ki wo bhi teri talab ka ek be-nam tasalsul tha

    duniya se jo bhi hum ne haalat ke zer-e-asar manga

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 442)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now