Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

palkon pe kuchh charagh farozan hue to hain

Mumtaz Mirza

palkon pe kuchh charagh farozan hue to hain

Mumtaz Mirza

MORE BYMumtaz Mirza

    palkoñ pe kuchh charāġh farozāñ hue to haiñ

    is zindagī ke marhale āsāñ hue to haiñ

    merī jabīñ ne jin ko navāzā thā kal talak

    vo zarre aaj mehr-e-daraḳhshāñ hue to haiñ

    nādim bhī hoñge apnī jafāoñ pe ek din

    vo kam-nigāhiyoñ pe pashīmāñ hue to haiñ

    sham-e-vafā jalāte haiñ zulmat-kadoñ meñ jo

    vo log is jahāñ meñ pareshāñ hue to haiñ

    kis mauj-e-ḳhūñ se guzre haiñ 'mumtāz' kyā kaheñ

    kahne ko aaj ham bhī ġhazal-ḳhvāñ hue to haiñ

    palkon pe kuchh charagh farozan hue to hain

    is zindagi ke marhale aasan hue to hain

    meri jabin ne jin ko nawaza tha kal talak

    wo zarre aaj mehr-e-daraKHshan hue to hain

    nadim bhi honge apni jafaon pe ek din

    wo kam-nigahiyon pe pashiman hue to hain

    sham-e-wafa jalate hain zulmat-kadon mein jo

    wo log is jahan mein pareshan hue to hain

    kis mauj-e-KHun se guzre hain 'mumtaz' kya kahen

    kahne ko aaj hum bhi ghazal-KHwan hue to hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now