Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pher jo paDna tha qismat mein wo hasb-e-mamul paDa

Arzoo Lakhnavi

pher jo paDna tha qismat mein wo hasb-e-mamul paDa

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    pher jo paḌnā thā qismat meñ vo hasb-e-ma.amūl paḌā

    ḳhanda-e-gul se uḌā vo sharāra ḳhirman-e-dil par phuul paḌā

    dekh idhar o niiñd ke maate kis achānak yaad aa.ī

    biich se TuuTī hai añgḌā.ī haath uThte jhuul paḌā

    husn-o-ishq an-ban kyā hai dil ke phañsāne phandā

    apne hāthoñ ḳhud aafat meñ ke ye nā-māqūl paḌā

    kaun kahe qismat palTī mat palTī sailānī

    rasta kaaT ke jaane vaalā aaj idhar bhī bhuul paḌā

    haal nahīñ jiine ke qābil aas nahīñ marne detī

    eḌiyāñ ragḌe āḳhir kab tak ḳhaak par ik maqtūl paḌā

    jitne husn-ābād meñ pahuñche hosh-o-ḳhirad kho kar pahuñche

    maal bhī to itne nahīñ ab jitnā kuchh mahsūl paḌā

    rāh-e-vafā thī TeḌhī bigḌī thī har gaam uftād na.ī

    paañv kisī TuuT gayā aur haath kisī jhuul paḌā

    baaġh meñ gulchīñ hai na hai maalī bijlī hai na falak pe sahāb

    ahd-e-ḳhizāñ meñ jalā hai nasheman aa ke kahāñ se phuul paḌā

    paañv tāqat taaq huī to band aañkh aur pahuñche

    'ārzū' us ko ḳhuub kiyā kam rāste meñ jo tuul paḌā

    pher jo paDna tha qismat mein wo hasb-e-mamul paDa

    KHanda-e-gul se uDa wo sharara KHirman-e-dil par phul paDa

    dekh idhar o nind ke mate kis ki achanak yaad aai

    bich se TuTi hai angDai hath uThte hi jhul paDa

    husn-o-ishq ki an-ban kya hai dil ke phansane ka phanda

    apne hathon KHud aafat mein ja ke ye na-maqul paDa

    kaun kahe qismat palTi ya mat palTi sailani ki

    rasta kaT ke jaane wala aaj idhar bhi bhul paDa

    haal nahin jine ke qabil aas nahin marne deti

    eDiyan ragDe aaKHir kab tak KHak par ek maqtul paDa

    jitne husn-abaad mein pahunche hosh-o-KHirad kho kar pahunche

    mal bhi to itne ka nahin ab jitna kuchh mahsul paDa

    rah-e-wafa thi TeDhi bigDi thi har gam uftad nai

    panw kisi ka TuT gaya aur hath kisi ka jhul paDa

    bagh mein gulchin hai na hai mali bijli hai na falak pe sahab

    ahd-e-KHizan mein jala hai nasheman aa ke kahan se phul paDa

    panw ki taqat taq hui to band ki aankh aur ja pahunche

    'arzu' us ko KHub kiya kam raste mein jo tul paDa

    Source:

    Nishaan-e-Aarzu (Pg. ebook-21 page-13)

    • Author: Anwar Husain Arzoo
      • Edition: 1968
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now