Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir lahlha uTha samay aamon pe baur ka

Nasir Shahzad

phir lahlha uTha samay aamon pe baur ka

Nasir Shahzad

MORE BYNasir Shahzad

    phir lahlhā uThā samay aamoñ pe baur

    jaane sakhī kab aa.e musāfir vo duur

    is gaañv ke nasheb meñ bahtī hai ik nadī

    naddī pe ek peḌ jhukā hai khajūr

    nīlam marg nain nigah dil ke ār-pār

    jīvan ke ird-gird kiran kunD nuur

    ik pal milāp phir kaḌe kaḌve kaThin viyog

    maqsad thā bas yahī tire mere zuhūr

    pakkī saḌak ke dāhne qabreñ kuaañ vo gaañv

    gaañv or-chhor samāñ sīm-thūr

    ādarsh man meñ chaah shardhā nibāh

    ānand us ke mukh pe muqaddas ġhurūr

    kuchh raat udaas kuchh kaTe janmoñ jugoñ pyaas

    kuchh tere mere jism meñ saudā futūr

    tīkhe tarāz zāviye naT-khaT nachant añg

    sundar sarīr kāñch turshī sutūr

    yādeñ vo duur des vo ghar aur vo sāmne

    sīmīñ badan siyāh libās ek huur

    phir lahlha uTha samay aamon pe baur ka

    jaane sakhi kab aae musafir wo dur ka

    is ganw ke nasheb mein bahti hai ek nadi

    naddi pe ek peD jhuka hai khajur ka

    nilam si marg nain nigah dil ke aar-par

    jiwan ke ird-gird kiran kunD nur ka

    ek pal milap phir kaDe kaDwe kaThin wiyog

    maqsad tha bas yahi tere mere zuhur ka

    pakki saDak ke dahne qabren kuan wo ganw

    ganw ki or-chhor saman sim-thur ka

    aadarsh man mein chah ka shardha nibah ki

    aanand us ke mukh pe muqaddas ghurur ka

    kuchh raat udas kuchh kaTe janmon jugon ki pyas

    kuchh tere mere jism mein sauda futur ka

    tikhe taraaz zawiye naT-khaT nachant ang

    sundar sarir kanch ki turshi sutur ka

    yaaden wo dur des wo ghar aur wo samne

    simin badan siyah libas ek hur ka

    Source:

    Ban Baas (Pg. 203)

    • Author: Naasir Shahzaad
      • Edition: 2004
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now