Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pit karna to humse nibhana sajan humne pahle hi din tha kaha na sajan

Ibn e Insha

pit karna to humse nibhana sajan humne pahle hi din tha kaha na sajan

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    piit karnā to ham se nibhānā sajan ham ne pahle din thā kahā sajan

    tum majbūr ho ham muḳhtār haiñ ḳhair maanā sajan ye bhī maanā sajan

    ab jo hone ke qisse sabhī ho chuke tum hameñ kho chuke ham tumheñ kho chuke

    aage dil na bātoñ meñ aanā sajan ki ye dil hai sadā divānā sajan

    ye bhī sach hai na kuchh baat banī suunī rātoñ meñ dekhā kiye chāñdnī

    par ye saudā hai ham ko purānā sajan aur jiine apne bahānā sajan

    shahr ke log achchhe haiñ hamdard haiñ par hamārī suno ham jahāñ-gard haiñ

    dāġh-e-dil mat kisī ko dikhānā sajan ye zamāna nahīñ vo zamāna sajan

    us ko muddat huī sabr karte hue aaj kū-e-vafā se guzarte hue

    pūchh kar us gadā Thikānā sajan apne 'inshā' ko bhī dekh aanā sajan

    pit karna to hum se nibhana sajan hum ne pahle hi din tha kaha na sajan

    tum hi majbur ho hum hi muKHtar hain KHair mana sajan ye bhi mana sajan

    ab jo hone ke qisse sabhi ho chuke tum hamein kho chuke hum tumhein kho chuke

    aage dil ki na baaton mein aana sajan ki ye dil hai sada ka diwana sajan

    ye bhi sach hai na kuchh baat ji ki bani suni raaton mein dekha kiye chandni

    par ye sauda hai hum ko purana sajan aur jine ka apne bahana sajan

    shahr ke log achchhe hain hamdard hain par hamari suno hum jahan-gard hain

    dagh-e-dil mat kisi ko dikhana sajan ye zamana nahin wo zamana sajan

    us ko muddat hui sabr karte hue aaj ku-e-wafa se guzarte hue

    puchh kar us gada ka Thikana sajan apne 'insha' ko bhi dekh aana sajan

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 228)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now