Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pur-nur jis ke husn se madfan tha kaun tha

Agha Hajju Sharaf

pur-nur jis ke husn se madfan tha kaun tha

Agha Hajju Sharaf

MORE BYAgha Hajju Sharaf

    pur-nūr jis ke husn se madfan thā kaun thā

    chehra ye kis shahīd raushan thā kaun thā

    Thahrā gayā hai ke jo manzil meñ ishq

    kyā jaane rahnumā thā ki rahzan thā kaun thā

    toḌā thā kis ke dil ko khilaune tarah se

    āshiq tumhārā jab ki laḌakpan thā kaun thā

    kis dil se hai ḳhudā.ī meñ ījād dard-e-ishq

    roz-e-azal jo mūjid-e-shevan thā kaun thā

    maqām thā mujhe rotī thī be-kasī

    koī na thā jahāñ mirā madfan thā kaun thā

    jhuk jhuk ke dekhtā thā vo kis jigar ghaav

    tar jis ke ḳhuuñ meñ yaar dāman thā kaun thā

    ham muskurāte the vo dikhātā thā sair-e-bāġh

    dam kis pe shefta dam-e-murdan thā kaun thā

    insān thā ki koī parī-zād thā 'sharaf'

    dil merā jis ke nuur se raushan thā kaun thā

    pur-nur jis ke husn se madfan tha kaun tha

    chehra ye kis shahid ka raushan tha kaun tha

    Thahra gaya hai la ke jo manzil mein ishq ki

    kya jaane rahnuma tha ki rahzan tha kaun tha

    toDa tha kis ke dil ko khilaune ki tarah se

    aashiq tumhaara jab ki laDakpan tha kaun tha

    kis dil se hai KHudai mein ijad dard-e-ishq

    roz-e-azal jo mujid-e-shewan tha kaun tha

    hu ka maqam tha mujhe roti thi be-kasi

    koi na tha jahan mera madfan tha kaun tha

    jhuk jhuk ke dekhta tha wo kis ki jigar ka ghaw

    tar jis ke KHun mein yar ka daman tha kaun tha

    hum muskuraate the wo dikhata tha sair-e-bagh

    dam kis pe shefta dam-e-murdan tha kaun tha

    insan tha ki koi pari-zad tha 'sharaf'

    dil mera jis ke nur se raushan tha kaun tha

    Source:

    Deewan-e-Sharf(Rekhta Website) (Pg. 73)

    • Author: Agha Hajju Sharaf
      • Publisher: Matba Jafari, Luckhnow
      • Year of Publication: 1875
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now